الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب فَضَائِلِ الصحابة
The Virtues and Merits of The Companions of The Prophet
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لَوْ كُنْتُ مُتَّخِذًا خَلِيلاً» :
Chapter. The saying of the Prophet:“If I were to take a Khalil...".
Hadith Number: Q3656
قاله ابو سعيد.
Yeh Abu Sa'id Radi Allahu Anhu se marwi hai.
Hadith Number: 3656
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا وهيب، حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لو كنت متخذا من امتي خليلا لاتخذت ابا بكر ولكن اخي وصاحبي".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, un se Ayub ne bayan kiya, un se Ikrimah ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar mein apni ummat ke kisi fard ko apna jaani dost bana sakta to Abu Bakr ko banata lekin woh mere deeni bhai aur mere sathi hain."
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3657
حدثنا معلى بن اسد , وموسى بن إسماعيل التبوذكي , قالا: حدثنا وهيب، عن ايوب، وقال:" لو كنت متخذا خليلا لاتخذته خليلا ولكن اخوة الإسلام افضل" حدثنا قتيبة، حدثنا عبد الوهاب، عن ايوب مثله.
Hum se Mu'alla bin Asad aur Musa ne bayan kiya, kaha ke hum se Wuhaib ne bayan kiya, un se Ayub ne (yahi riwayat) ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke agar mein kisi ko jaani dost bana sakta to Abu Bakr ko banata. Lekin Islam ka bhai chara kya kam hai. Hum se Qutaibah ne bayan kiya, un se Abdul Wahhab ne aur un se Ayub ne aisi hi hadeeth bayan ki.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3658
حدثنا سليمان بن حرب، اخبرنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن عبد الله بن ابي مليكة، قال: كتب اهل الكوفة إلى ابن الزبير في الجد، فقال: اما الذي، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لو كنت متخذا من هذه الامة خليلا لاتخذته انزله ابا يعني ابا بكر".
Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum ko Hammad bin Zaid ne khabar di, unhein Ayub ne, un se Abdullah bin Abi Mulaikah ne bayan kiya ke Kufa walon ne Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhuma ko dada (ki meras ke silsile mein) sawal likha to Aap ne unhein jawab diya ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya tha ke agar is ummat mein kisi ko mein apna jaani dost bana sakta to Abu Bakr ko banata. (Wahi) Abu Bakr Radi Allahu Anhu yeh farmate thay ke dada, baap ki tarah hai (yani jab mayyat ka baap zinda na ho to baap ka hissa dada ki taraf lout jayega. Yani baap ki jagah dada warith hoga).
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3659
حدثنا الحميدي , ومحمد بن عبيد الله، قالا: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابيه، عن محمد بن جبير بن مطعم، عن ابيه، قال: اتت امراة النبي صلى الله عليه وسلم فامرها ان ترجع إليه، قالت: ارايت إن جئت ولم اجدك كانها تقول الموت، قال صلى الله عليه وسلم:" إن لم تجديني فاتي ابا بكر".
Hum se Humaydi aur Muhammad bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke hum se Ibrahim bin Sa'd ne bayan kiya, un se Muhammad bin Jubair bin Mut'im ne aur un se in ke walid ne bayan kiya ke ek aurat Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein aayi to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne un se farmaya ke phir aana. Us ne kaha: Agar mein aaun aur Aap ko na paun to? Goya woh wafat ki taraf ishara kar rahi thi. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke agar tum mujhe na pa sako to Abu Bakr ke pas chali aana.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3660
حدثني احمد بن ابي الطيب، حدثنا إسماعيل بن مجالد، حدثنا بيان بن بشر، عن وبرة بن عبد الرحمن، عن همام، قال: سمعت عمارا، يقول:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم وما معه إلا خمسة اعبد وامراتان وابو بكر".
Hum se Ahmad bin Abi Tayyib ne bayan kiya, kaha hum se Ismail bin Abi Mujalid ne bayan kiya, un se Bayan bin Bishr ne kaha, un se Wabarah bin Abdur Rahman ne, un se Hammam ne bayan kiya ke mein ne Ammar Radi Allahu Anhu se suna, woh bayan karte thay ke mein ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko is waqt dekha hai jab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke sath (Islam lane walon mein sirf) panch ghulam, do aurton aur Abu Bakr Radi Allahu Anhum ke siwa aur koi na tha.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3661
حدثني هشام بن عمار، حدثنا صدقة بن خالد، حدثنا زيد بن واقد، عن بسر بن عبيد الله، عن عائذ الله ابي إدريس، عن ابي الدرداء رضي الله عنه، قال: كنت جالسا عند النبي صلى الله عليه وسلم إذ اقبل ابو بكر آخذا بطرف ثوبه حتى ابدى عن ركبته، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" اما صاحبكم فقد غامر فسلم، وقال إني كان بيني وبين ابن الخطاب شيء فاسرعت إليه، ثم ندمت فسالته ان يغفر لي فابى علي فاقبلت إليك، فقال: يغفر الله لك يا ابا بكر ثلاثا، ثم إن عمر ندم فاتى منزل ابي بكر فسال اثم ابو بكر، فقالوا: لا فاتى إلى النبي صلى الله عليه وسلم فسلم فجعل وجه النبي صلى الله عليه وسلم يتمعر حتى اشفق ابو بكر فجثا على ركبتيه، فقال: يا رسول الله والله انا كنت اظلم مرتين، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن الله بعثني إليكم فقلتم كذبت، وقال ابو بكر: صدق وواساني بنفسه وماله فهل انتم تاركوا لي صاحبي مرتين فما اوذي بعدها".
Mujh se Hisham bin Ammar ne bayan kiya, kaha hum se Sadaqah bin Khalid ne bayan kiya, un se Zaid bin Waqid ne bayan kiya, un se Busr bin Ubaidullah ne, un se Aidhullah Abu Idrees ne aur un se Abu al-Darda Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir tha ke Abu Bakr Radi Allahu Anhu apne kapre ka kinara pakre hue, ghutna zahir kiye hue aaye. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne yeh halat dekh kar farmaya ke maloom hota hai tumhare dost kisi se lar kar aaye hain. Phir Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne hazir ho kar salam kiya aur arz kiya: Ya Rasul Allah! Mere aur Umar bin Khattab ke darmiyan kuch takrar ho gayi thi aur is silsile mein, mein ne jaldi mein un ko sakht lafz keh diye lekin baad mein mujhe sakht nadamat hui to mein ne un se maafi chahi, ab woh mujhe maaf karne ke liye tayyar nahi hain. Isi liye mein Aap ki khidmat mein hazir hua hun. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke Ae Abu Bakr! Tumhein Allah maaf kare. Teen martaba Aap ne yeh jumla irshad farmaya Umar Radi Allahu Anhu ko bhi nadamat hui aur Abu Bakr Radi Allahu Anhu ke ghar pahunche aur poocha kya Abu Bakr ghar par maujood hain? Maloom hua ke nahi to Aap bhi Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue aur Aap ne salam kiya. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka chehra mubarak ghusse se badal gaya aur Abu Bakr Radi Allahu Anhu dar gaye aur ghutnon ke bal baith kar arz karne lage, Ya Rasul Allah! Allah ki qasam ziyati meri hi taraf se thi. Do martaba yeh jumla kaha. Is ke baad Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke Allah ne mujhe tumhari taraf nabi bana kar bheja tha. Aur tum logon ne mujh se kaha tha ke tum jhoot bolte ho lekin Abu Bakr ne kaha tha ke Aap sacche hain aur apni jaan-o-maal ke zariye unhon ne meri madad ki thi to kya tum log mere dost ko satana chhorhte ho ya nahi? Aap ne do dafa yahi farmaya: Aap ke yeh farmane ke baad phir Abu Bakr Radi Allahu Anhu ko kisi ne nahi sataya.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3662
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا عبد العزيز بن المختار، قال: خالد الحذاء حدثنا، عن ابي عثمان، قال: حدثني عمرو بن العاص رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم بعثه على جيش ذات السلاسل فاتيته، فقلت: اي الناس احب إليك؟ قال:" عائشة"، فقلت: من الرجال، فقال:" ابوها"، قلت: ثم من، قال:" ثم عمر بن الخطاب" , فعد رجالا.
Hum se Mu'alla bin Asad ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Aziz bin Mukhtar ne bayan kiya, kaha hum se Khalid Hadh-dha ne, kaha hum se Abu Usman ne bayan kiya, kaha ke mujh se Amr bin al-Aas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhein Ghazwa-e-Dhat al-Salasil ke liye bheja (Amr Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke) phir mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur mein ne poocha ke sab se zyada mohabbat Aap ko kis se hai? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke Aisha se mein ne poocha, aur mardon mein? Farmaya ke is ke baap se. Mein ne poocha, is ke baad? Farmaya ke Umar bin Khattab se. Is tarah Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kai aadmiyon ke naam liye.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3663
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني ابو سلمة بن عبد الرحمن بن عوف، ان ابا هريرة رضي الله عنه، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" بينما راع في غنمه عدا عليه الذئب فاخذ منها شاة فطلبه الراعي فالتفت إليه الذئب، فقال: من لها يوم السبع يوم ليس لها راع غيري، وبينما رجل يسوق بقرة قد حمل عليها فالتفتت إليه فكلمته، فقالت: إني لم اخلق لهذا ولكني خلقت للحرث" , قال: الناس سبحان الله، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" فإني اومن بذلك وابو بكر , وعمر بن الخطاب رضي الله عنهما".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shuaib ne khabar di, un se Zuhri ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujhe Abu Salamah bin Abdur Rahman ne khabar di aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke ek charwaha apni bakriyan chura raha tha ke bhediya aa gaya aur rewar se ek bakri utha kar le jane laga. Charwahe ne is se bakri chhurani chahi to bhediya bol para. Darindon wale din mein is ki rakhwali karne wala kon hoga jis din mere siwa aur koi charwaha na hoga. Isi tarah ek shakhs bael ko is par sawar ho kar liye ja raha tha, bael is ki taraf mutawajje ho kar kehne laga ke meri paidaish is ke liye nahi hui hai. Mein to kheti baari ke kaamon ke liye paida kiya gaya hun. Woh shakhs bol para. Subhan Allah! (janwar aur insanon ki tarah batein kare) Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke mein in waqiat par iman lata hun aur Abu Bakr aur Umar bin Khattab bhi.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3664
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، عن يونس، عن الزهري، قال: اخبرني ابن المسيب، سمع ابا هريرة رضي الله عنه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" بينا انا نائم رايتني على قليب عليها دلو فنزعت منها ما شاء الله، ثم اخذها ابن ابي قحافة فنزع بها ذنوبا او ذنوبين وفي نزعه ضعف والله يغفر له ضعفه، ثم استحالت غربا فاخذها ابن الخطاب فلم ار عبقريا من الناس ينزع نزع عمر حتى ضرب الناس بعطن".
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah bin al-Mubarak ne khabar di, unhein Yunus ne, un se Zuhri ne bayan kiya, kaha mujh ko Ibn al-Musayyib ne khabar di aur unhon ne Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne kaha ke mein ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke mein so raha tha ke khwab mein mein ne apne aap ko ek kunwein par dekha jis par dol tha. Allah Ta'ala ne jitna chaha mein ne is dol se pani khincha, phir ise Ibn Abi Quhafah (Abu Bakr Radi Allahu Anhu) ne le liya aur unhon ne ek ya do dol khinche, in ke khinchne mein kuch kamzori si maloom hui Allah in ki is kamzori ko maaf farmaye. Phir is dol ne ek bahut bade dol ki surat ikhtiyar kar li aur ise Umar bin Khattab (Radi Allahu Anhu) ne apne hath mein le liya. Mein ne aisa shah-zor pehalwan aadmi nahi dekha jo Umar (Radi Allahu Anhu) ki tarah dol khinch sakta. Unhon ne itna pani nikala ke log ne apne onton ko houz se seerab kar liya.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة