الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِهَادِ وَالسِّيَرِ
The Book of Jihad (Fighting For Allah’S Cause)
بَابُ تَمَنِّي الشَّهَادَةِ:
Chapter. The wish for martyrdom.
Show diacritics
Hadith Number: 2797
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، ان ابا هريرة رضي الله عنه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" والذي نفسي بيده لولا ان رجالا من المؤمنين لا تطيب انفسهم ان يتخلفوا عني، ولا اجد ما احملهم عليه ما تخلفت عن سرية تغزو في سبيل الله، والذي نفسي بيده لوددت اني اقتل في سبيل الله، ثم احيا، ثم اقتل، ثم احيا، ثم اقتل، ثم احيا، ثم اقتل".
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, un se Zuhri ne bayan kiya, unhein Saeed Bin Musayyib ne, un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) farma rahe thay is zat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai! Agar musalmanon ke dilon mein is se ranj na hota ke mein un ko chor kar jihad ke liye nikal jaun aur mujhe khud itni sawariyan muyassar nahi hain ke in sab ko sawar kar ke apne sath le chalun to mein kisi chhote se chhote aise lashkar ke sath jaane se bhi na rukta jo Allah ke raste mein ghazwah ke liye ja raha hota. Is zat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai! Meri to aarzoo hai ke mein Allah ke raste mein qatl kiya jaun, phir zinda kiya jaun, phir qatl kiya jaun aur phir zinda kiya jaun phir qatl kiya jaun aur phir zinda kiya jaun aur phir qatl kar diya jaun
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 2798
حدثنا يوسف بن يعقوب الصفار، حدثنا إسماعيل بن علية، عن ايوب، عن حميد بن هلال، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال: خطب النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" اخذ الراية زيد فاصيب، ثم اخذها جعفر فاصيب، ثم اخذها عبد الله بن رواحة فاصيب، ثم اخذها خالد بن الوليد، عن غير إمرة ففتح له، وقال:" ما يسرنا انهم عندنا، قال: ايوب، او قال: ما يسرهم انهم عندنا، وعيناه تذرفان".
Hum se Yusuf Bin Yaqub Saffar ne bayan kiya, kaha hum se Ismail Bin Aliyyah ne, un se Ayyub ne, un se Humaid Bin Hilal ne aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne khutbah diya, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Fauj ka jhanda ab Zaid ne apne hath mein liya aur wo shaheed kar diye gaye phir Jafar ne le liya aur wo bhi shaheed kar diye gaye phir Abdullah Bin Rawahah ne le liya aur wo bhi shaheed kar diye gaye aur ab kisi hidayat ka intezar kiye baghair Khalid Bin Walid ne jhanda apne hath mein le liya. Aur un ke hath par Islami lashkar ko fatah hui." Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Aur humein koi is ki khushi bhi nahi thi ke ye log jo shaheed ho gaye hain hamare paas zinda rehte kyunke wo bahut aish o aaram mein chale gaye hain. Ayyub ne bayan kiya ya Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ye farmaya "Unhein koi is ki khushi bhi nahi thi ke hamare sath zinda rehte, is waqt Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) aankhon se aansu jari thay
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain