الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْهِبَةِ وَفَضْلِهَا وَالتَّحْرِيضِ عَلَيْهَا
The Book of Gifts and The Superiority of Giving Gifts and The Exhortation for Giving Gifts
بَابُ قَبُولِ هَدِيَّةِ الصَّيْدِ:
Chapter. Accepting the gift of game.
Hadith Number: Q2572
وقبل النبي صلى الله عليه وسلم من ابي قتادة عضد الصيد.
Aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne shikar ke bazu ka tohfa Abu Qatada se qabool farmaya tha (isi se tarjumatul-bab sabit hua)
.
.
Hadith Number: 2572
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن هشام بن زيد بن انس بن مالك، عن انس رضي الله عنه، قال: انفجنا ارنبا بمر الظهران، فسعى القوم فلغبوا، فادركتها، فاخذتها، فاتيت بها ابا طلحة، فذبحها، وبعث بها إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم بوركها او فخذيها، قال:" فخذيها لا شك فيه"، فقبله. قلت: واكل منه، قال: واكل منه، ثم قال بعد: قبله.
Hum se Suleman Bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Hisham Bin Zaid Bin Anas Bin Malik ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Marr-uz-Zahran nami jagah mein hum ne ek khargosh ka peecha kiya. Log (is ke peeche) daure aur ise thaka diya aur mein ne qareeb pahunch kar ise pakar liya. Phir Abu Talha (Radi Allahu Anhu) ke haan laya. Unhon ne ise zibah kiya aur is ke peeche ka ya donon raanon ka gosht Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein bheja. (Shuba ne baad mein yaqeen ke sath) kaha ke donon raanein unhon ne bheji theen, is mein koi shak nahi. Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ise qabool farmaya tha mein ne poocha aur is mein se Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne kuch tanawul bhi farmaya? Unhon ne bayan kiya ke han! kuch tanawul farmaya tha. Is ke baad phir unhon ne kaha ke Aap ne wo hadiya qabool farma liya tha
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة