الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الصَّوْمِ
The Book of As-Saum (The Fasting).
بَابُ سِوَاكِ الرَّطْبِ وَالْيَابِسِ لِلصَّائِمِ:
Chapter. Dry or green Siwak for the person observing Saum (fast).
Show diacritics
Hadith Number: Q1934
ويذكر عن عامر بن ربيعة، قال: رايت النبي صلى الله عليه وسلم يستاك وهو صائم ما لا احصي او اعد، وقال ابو هريرة: عن النبي صلى الله عليه وسلم: لولا ان اشق على امتي لامرتهم بالسواك عند كل وضوء، ويروى نحوه، عن جابر، وزيد بن خالد، عن النبي صلى الله عليه وسلم، ولم يخص الصائم من غيره، وقالت عائشة: عن النبي صلى الله عليه وسلم: السواك مطهرة للفم، مرضاة للرب، وقال عطاء، وقتادة يبتلع ريقه.
Aur Aamir Bin Rabeeah (Radi Allahu Anhu) se manqool hai ke unhon ne kaha mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko roza ki halat mein beshumar dafa wuzu mein miswak karte dekha aur Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki ye hadees bayan ki ke agar meri ummat par mushkil na hoti to mein har wuzu ke sath miswak ka hukm wujuban de deta. Isi tarah ki hadees Jabir aur Zaid Bin Khalid (Radi Allahu Anhuma) ki bhi Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se manqool hai. Is mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne roza dar waghera ki koi takhsees nahi ki. Aisha (Radi Allahu Anha) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka ye farman naqal kiya ke (miswak) munh ko pak rakhne wali aur Rabb ki raza ka sabab hai aur Ata aur Qatada ne kaha roza dar apna thook nigal sakta hai
.


Show diacritics
Hadith Number: 1934
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، قال: حدثني الزهري، عن عطاء بن يزيد، عن حمران:" رايت عثمان رضي الله عنه توضا فافرغ على يديه ثلاثا، ثم تمضمض واستنثر، ثم غسل وجهه ثلاثا، ثم غسل يده اليمنى إلى المرفق ثلاثا، ثم غسل يده اليسرى إلى المرفق ثلاثا، ثم مسح براسه، ثم غسل رجله اليمنى ثلاثا، ثم اليسرى ثلاثا، ثم قال: رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم توضا نحو وضوئي هذا، ثم قال: من توضا وضوئي هذا، ثم يصلي ركعتين، لا يحدث نفسه فيهما بشيء، إلا غفر له ما تقدم من ذنبه".
Hum se Abdan ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Abdullah Bin Mubarak ne khabar di, unhon ne kaha hum ko Mamar ne khabar di, unhon ne kaha hum se Zuhri ne bayan kiya, un se Ata Bin Zaid ne, un se Humran ne unhon ne Usman Bin Affan (Radi Allahu Anhu) ko wuzu karte dekha, aap ne (pehle) apne donon hathon par teen martaba pani dala phir kulli ki aur naak saaf ki, phir teen martaba chehra dhowya, phir dayan hath kehni tak dhowya, phir bayan hath kehni tak dhowya teen teen martaba, is ke baad apne sar ka masah kiya aur teen martaba dahina paon dhowya, phir teen martaba bayan paon dhowya, aakhir mein kaha ke jis darha mein ne wuzu kiya hai mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko bhi isi tarah wuzu karte dekha hai, phir aap ne farmaya tha ke jis ne meri tarah wuzu kiya phir do rakat namaz (tahiyat-ul-wuzu) is tarah parhi ke is ne dil mein kisi qism ke khayalat-o-wasawis guzarne nahi diye to is ke agle gunah maaf kar diye jayein ge
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain