الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الصَّوْمِ
The Book of As-Saum (The Fasting).
بَابُ الْقُبْلَةِ لِلصَّائِمِ:
Chapter. What is said regarding kissing by a fasting person.
Show diacritics
Hadith Number: Q1928
وقال جابر بن زيد: إن نظر فامنى يتم صومه.
Aur Jabir Bin Zaid ne kaha agar roza dar ne shahwat se dekha aur mani nikal aayi to wo apna roza poora kar le
.


Show diacritics
Hadith Number: 1928
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، عن هشام، قال: اخبرني ابي، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" إن كان رسول الله صلى الله عليه وسلم ليقبل بعض ازواجه وهو صائم"، ثم ضحكت.
Hum se Muhammad Bin Muthanna ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Bin Saeed Qattan ne bayan kiya, un se Hisham ne bayan kiya ke mujhe mere walid Urwah ne khabar di aur unhein Aisha (Radi Allahu Anha) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke hawala se (doosri sanad Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke) aur hum se Abdullah Bin Muslimah ne bayan kiya, un se Imam Malik (Rahimahullah) ne, un se Hisham Bin Urwah ne, un se un ke baap ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) apni baaz azwaj ka roza dar hone ke bawajood bosa le liya karte thay. Phir aap hansein
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1929
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن هشام بن ابي عبد الله، حدثنا يحيى بن ابي كثير، عن ابي سلمة، عن زينب ابنة ام سلمة، عن امها رضي الله عنه، قالت:" بينما انا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم في الخميلة، إذ حضت، فانسللت، فاخذت ثياب حيضتي، فقال: ما لك، انفست؟ قلت: نعم، فدخلت معه في الخميلة، وكانت هي ورسول الله صلى الله عليه وسلم يغتسلان من إناء واحد، وكان يقبلها وهو صائم".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Bin Saeed Qattan ne bayan kiya, un se Hisham Bin Abi Abdullah ne, un se Yahya Bin Abi Kathir ne, un se Abu Salma ne, un se Umm-e-Salma (Radi Allahu Anha) ki beti Zainab ne aur un se un ki walda (Umm-e-Salma Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath ek chadar mein (leti hui) thi ke mujhe haiz aa gaya. Is liye mein chupke se nikal aayi aur apna haiz ka kapra pehen liya. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne poocha kya baat hui ? kya haiz aa gaya hai ? Mein ne kaha han, phir mein aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath isi chadar mein chali gayi aur Umm-e-Salma (Radi Allahu Anha) aur Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ek hi bartan se ghusl (janabat) kiya karte thay aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) roze se hone ke bawajood un ka bosa lete thay
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain