الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الصَّوْمِ
The Book of As-Saum (The Fasting).
بَابُ الرَّيَّانُ لِلصَّائِمِينَ:
Chapter. Ar-Raiyan (one of the gates of Paradise) is for people observing Saum (fast) people.
Hadith Number: 1896
حدثنا خالد بن مخلد، حدثنا سليمان بن بلال، قال: حدثني ابو حازم، عن سهل رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن في الجنة بابا، يقال له: الريان، يدخل منه الصائمون يوم القيامة، لا يدخل منه احد غيرهم، يقال: اين الصائمون؟ فيقومون، لا يدخل منه احد غيرهم، فإذا دخلوا اغلق، فلم يدخل منه احد".
Hum se Khalid Bin Makhlad ne bayan kiya, kaha hum se Suleiman Bin Bilal ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abu Hazim Salma Ibn Dinar ne bayan kiya aur un se Sahl Bin Saad Saidi (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, jannat ka ek darwaza hai jisay Rayyan kehte hain qayamat ke din is darwaza se sirf roza dar hi jannat mein dakhil hon ge, un ke siwa aur koi is mein se nahi dakhil ho ga, pukara jaye ga ke roza dar kahan hain ? Wo kharay ho jayein ge un ke siwa is se aur koi nahi andar jane paye ga aur jab ye log andar chale jayein ge to ye darwaza band kar diya jaye ga phir is se koi andar na ja sake ga
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1897
حدثنا إبراهيم بن المنذر، قال: حدثني معن، قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب، عن حميد بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" من انفق زوجين في سبيل الله نودي من ابواب الجنة: يا عبد الله، هذا خير، فمن كان من اهل الصلاة دعي من باب الصلاة، ومن كان من اهل الجهاد دعي من باب الجهاد، ومن كان من اهل الصيام دعي من باب الريان، ومن كان من اهل الصدقة دعي من باب الصدقة"، فقال ابو بكر رضي الله عنه: بابي انت وامي يا رسول الله، ما على من دعي من تلك الابواب من ضرورة، فهل يدعى احد من تلك الابواب كلها، قال: نعم، وارجو ان تكون منهم.
Hum se Ibrahim Bin al-Munzir ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Maeen Bin Isa ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Humaid Bin Abdur Rahman ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jo Allah ke raste mein do cheezain kharch kare ga usay farishte jannat ke darwazon se bulayein ge ke ae Allah ke bande! ye darwaza accha hai phir jo shakhs namazi ho ga usay namaz ke darwaza se bulaya ga jo mujahid ho ga usay jihad ke darwaze se bulaya jaye jo roza dar ho ga usay «Bab al-Rayyan» se bulaya jaye ga aur jo zakat ada karne wala ho ga usay zakat ke darwaza se bulaya jaye ga. Is par Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ne poocha mere maan baap Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) par fida hon ya Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)! jo log in darwazon (mein se kisi ek darwaza) se bulaye jayein ge mujhe un se bahas nahi, aap ye farmayein ke kya koi aisa bhi ho ga jisay in sab darwazon se bulaya jaye ga ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke han aur mujhe umeed hai ke aap bhi unhein mein se hon ge
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة