الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب فضل اتباع الجنائز:
Bab: Janazah ke sath janay ki fazeelat.
Show diacritics
Hadith Number: Q1323
وقال زيد بن ثابت رضي الله عنه: إذا صليت فقد قضيت الذي عليك , وقال: حميد بن هلال ما علمنا على الجنازة إذنا , ولكن من صلى ثم رجع فله قيراط.
Aur Zayd bin Thabit razi Allahu anhu ne farmaya ke namaaz parh kar tum ne apna haq ada kar diya . Humayd bin Bilal (tabi) ne farmaya ke hum namaaz parh kar ijazat lena zaroori nahin samajhte . Jo shakhs bhi namaaz-e-janaza parhe aur phir wapas aaye to ise ek qiraat ka thawab milta hai .


Show diacritics
Hadith Number: 857
حدثنا بن المثنى، قال: حدثني غندر، قال: حدثنا شعبة، قال: سمعت سليمان الشيباني، قال: سمعت الشعبي، قال:" اخبرني من مر مع النبي صلى الله عليه وسلم على قبر منبوذ، فامهم وصفوا عليه"، فقلت: يا ابا عمرو، من حدثك؟ فقال: ابن عباس.
Hum se Muhammad bin Muthanna ne byaan kiya , kaha ke hum se Ghundar ne byaan kiya , un se Shubah ne byaan kiya , unhon ne Sulayman Shaybani se suna , unhon ne Shabi se , unhon ne byaan kiya ke mujhe ek aise shakhs ne khabar di jo (ek marteba) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath ek akeli alag thalag tooti hui qabr par se guzar rahe thay wahan Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne namaaz parhayi aur log Aap salla Allahu alaihi wasallam ke peeche saf bandhe huay thay . Sulayman ne kaha ke main ne Shabi se poocha ke Abu Amr Aap se yeh kis ne byaan kiya to unhon ne kaha ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة