الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجمعة
Kitab: Juma ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {فإذا قضيت الصلاة فانتشروا فى الأرض وابتغوا من فضل الله} :
Bab: Allah Azzawajal ka (Soorat-ul-Jumu’ah mein) ye farmana ke jab jumu’ah ki namaz khatm ho jaye to apne kaam-kaaj ke liye zameen mein phail jao aur Allah ke fazl (rozi, rizq ya ilm) ko dhoondo.
Show diacritics
Hadith Number: 938
حدثنا سعيد بن ابي مريم، قال: حدثنا ابو غسان، قال: حدثني ابو حازم، عن سهل، قال:" كانت فينا امراة تجعل على اربعاء في مزرعة لها سلقا، فكانت إذا كان يوم جمعة تنزع اصول السلق فتجعله في قدر، ثم تجعل عليه قبضة من شعير تطحنها فتكون اصول السلق عرقه، وكنا ننصرف من صلاة الجمعة فنسلم عليها فتقرب ذلك الطعام إلينا فنلعقه، وكنا نتمنى يوم الجمعة لطعامها ذلك".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abu Ghassan Muhammad bin Matar Madni ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Abu Hazim Salamah bin Dinar ne Sahl bin Saad ke waaste se byaan kiya , unhon ne byaan kiya ke hamare yahan aik aurat thi jo nalon par apne aik khet mein chuqandar boti . Juma ka din aata to woh chuqandar ukhaar lateen aur ise aik haandi mein pakateen phir oopar se aik mutthi jao ka aata chhirak deteun . Is tarah yeh chuqandar gosht ki tarah ho jate . Juma se wapsi mein hum unhein salam karne ke liye hazir hote to yahi pakwan hamare aage kar deteun aur hum ise chaat jate . Hum log har Juma ko un ke is khane ke aarzoomand raha karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 939
حدثنا عبد الله بن مسلمة، قال: حدثنا ابن ابي حازم، عن ابيه، عن سهل بهذا، وقال:" ما كنا نقيل ولا نتغدى إلا بعد الجمعة".
Hum se Abdullah bin Muslimah Qanabi ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdul Aziz bin Abi Hazim ne byaan kiya apne baap se aur un se Sahl bin Saad ne yahi byaan kiya aur farmaya ke dopehar ka sona aur dopehar ka khana Juma ki namaaz ke baad rakhte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 941
حدثنا سعيد بن ابي مريم، قال: حدثنا ابو غسان، قال: حدثني ابو حازم، عن سهل، قال:" كنا نصلي مع النبي صلى الله عليه وسلم الجمعة ثم تكون القائلة".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Ghassan ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abu Hazim ne Sahl bin Saad razi Allahu anhu se byaan kiya , unhon ne batlaya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sath Juma parhte , phir dopehar ki neend liya karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2349
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا يعقوب بن عبد الرحمن، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد رضي الله عنه، انه قال:" إنا كنا نفرح بيوم الجمعة، كانت لنا عجوز تاخذ من اصول سلق لنا كنا نغرسه في اربعائنا، فتجعله في قدر لها، فتجعل فيه حبات من شعير، لا اعلم إلا انه قال: ليس فيه شحم ولا ودك، فإذا صلينا الجمعة زرناها فقربته إلينا، فكنا نفرح بيوم الجمعة من اجل ذلك، وما كنا نتغدى ولا نقيل إلا بعد الجمعة".
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya, kaha ke hum se Yaqub Bin Abdur Rahman ne bayan kiya, un se Abu Hazim Salama Bin Dinar ne, un se Sahl Bin Saad (Radi Allahu Anhu) ne ke Jummah ke din humein bahut khushi (is baat ki) hoti thi ke humari ek boorhi aurat theen jo is chaqundar ko ukhara latin jise hum apne bagh ki maindon par bo diya karte thay. Wo in ko apni haandi mein pakatin aur is mein thore se jau bhi daal detein. Abu Hazim ne kaha mein nahi janta ke Sahl ne yun kaha na is mein charbi hoti na chiknayi. Phir jab hum Jummah ki namaz parh lete to in ki khidmat mein hazir hote. Wo apna pakwan humare samne kar detein. Aur is liye humein Jummah ke din ki khushi hoti thi. Aur hum dopahar ka khana aur qayloolah Jummah ke baad kiya karte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5304
حدثنا عمرو بن زرارة، اخبرنا عبد العزيز بن ابي حازم، عن ابيه، عن سهل، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" انا وكافل اليتيم في الجنة هكذا، واشار بالسبابة والوسطى وفرج بينهما شيئا".
Hum se Amr bin Zurarah ne byaan kiya , kaha ke hamain ko Abdul Aziz bin Abi Hazim ne khabar di , unhein un ke walid ne aur un se Sahl razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main aur yateem ki parwarish karne wala jannat mein is tarah hon ge aur Aap ne shahadat ki ungli aur beech ki ungli se isharah kiya aur in donon ungliyon ke darmiyan thori si jagah khuli rakkhi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6248
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا ابن ابي حازم، عن ابيه، عن سهل، قال:" كنا نفرح يوم الجمعة، قلت: ولم، قال: كانت لنا عجوز ترسل إلى بضاعة، قال ابن مسلمة: نخل بالمدينة، فتاخذ من اصول السلق، فتطرحه في قدر وتكركر حبات من شعير، فإذا صلينا الجمعة انصرفنا ونسلم عليها، فتقدمه إلينا، فنفرح من اجله، وما كنا نقيل ولا نتغدى إلا بعد الجمعة".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Hazim ne in se un ke walid ne aur in se Sahl razi Allahu anhu ne ke hum Jumu'ah ke din khush hua karte thay. Main ne arz ki kis liye? Farmaya ke hamari ek budhia thien jo maqam e Buzha'ah jaya karti thien. Ibn Salama ne kaha ke Buzha'ah Madinah Munawwarah ka khajoor ka ek bagh tha. Phir woh wahan se chuqandar laya karti thien aur usay haandi mein daalti thien aur jau ke kuch dane pees kar (is mein milaati thien) jab hum Jumu'ah ki namaz parh kar wapas hote to unhein salam karne aate aur woh yeh chuqandar ki jadh mein aata mili hui dawat hamare samne rakhti thien hum is wajah se Jumu'ah ke din khush hua karte thay aur qailula ya dopehar ka khana hum Jumu'ah ke baad karte thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6279
حدثنا محمد بن كثير، حدثنا سفيان، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد، قال:" كنا نقيل ونتغدى بعد الجمعة".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, in se Abu Hazim ne aur in se Sahl bin Saad Saadi razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum khana aur qailula namaz e Jumu'ah ke baad kiya karte thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة