الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان (صفة الصلوة)
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein (Sifat-us-Salat)
باب الذكر بعد الصلاة:
Bab: Namaz ke baad zikr-e-ilahi karna.
Show diacritics
Hadith Number: 843
حدثنا محمد بن ابي بكر، قال: حدثنا معتمر، عن عبيد الله، عن سمي، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: جاء الفقراء إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقالوا: ذهب اهل الدثور من الاموال بالدرجات العلا والنعيم المقيم، يصلون كما نصلي ويصومون كما نصوم، ولهم فضل من اموال يحجون بها ويعتمرون ويجاهدون ويتصدقون، قال:" الا احدثكم بامر إن اخذتم به ادركتم من سبقكم ولم يدرككم احد بعدكم وكنتم خير من انتم بين ظهرانيه، إلا من عمل مثله تسبحون وتحمدون وتكبرون خلف كل صلاة ثلاثا وثلاثين، فاختلفنا بيننا، فقال: بعضنا نسبح ثلاثا وثلاثين ونحمد ثلاثا وثلاثين ونكبر اربعا وثلاثين، فرجعت إليه، فقال: تقول سبحان الله والحمد لله والله اكبر حتى يكون منهن كلهن ثلاثا وثلاثين".
Hum se Muhammad bin Abi Bakr ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Mutamir bin Sulayman ne byaan kiya , un se Ubaydullah Umari ne byaan kiya , un se Sami ne byaan kiya , un se Abu Saleh Zakwan ne byaan kiya un se Abu Hurayrah razi Allahu anhu ne farmaya ke naadar log Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein haazir huay aur kaha ke ameer o raees log buland darjaat aur hamesha rehne wali jannat haasil kar chuke halaanke jis tarah hum namaaz parhte hain woh bhi parhte hain aur jaise hum roze rakhte hain woh bhi rakhte hain lekin maal o daulat ki wajah se unhein hum par fauqiyat haasil hai ke us ki wajah se woh haj karte hain . Umrah karte hain . Jihad karte hain aur sadaqat dete hain (aur hum mohtaaji ki wajah se un kaamon ko nahi kar pate) is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke lo main tumhein ek aisa amal batata hoon ke agar tum is ki pabandi karoge to jo log tum se aage barh chuke hain unhein tum pa lo ge aur tumhare martabe tak phir koi nahi pohanch sake ga aur tum sab se achhe ho jao ge siwa un ke jo yahi amal shuru kar den har namaaz ke baad teentees teentees marteba tasbeeh «subhan Allah» , tahmeed «alhamdu lillah» , takbeer «Allahu akbar» kaha karo . Phir hum mein ikhtilaaf ho gaya kisi ne kaha ke hum tasbeeh «subhan Allah» teentees marteba , tahmeed «alhamdu lillah» teentees marteba aur takbeer «Allahu akbar» chontees marteba kahen ge . Main ne is par Aap salla Allahu alaihi wasallam se dobara maloom kiya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke «subhan Allah» , «alhamdu lillah» aur «Allahu akbar» kaho taanke har ek un mein se teentees marteba ho jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6329
حدثني إسحاق، اخبرنا يزيد، اخبرنا ورقاء، عن سمي، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، قالوا: يا رسول الله، ذهب اهل الدثور بالدرجات والنعيم المقيم، قال:" كيف ذاك؟" قالوا: صلوا كما صلينا، وجاهدوا كما جاهدنا، وانفقوا من فضول اموالهم وليست لنا اموال، قال:" افلا اخبركم بامر تدركون من كان قبلكم، وتسبقون من جاء بعدكم، ولا ياتي احد بمثل ما جئتم به، إلا من جاء بمثله، تسبحون في دبر كل صلاة عشرا، وتحمدون عشرا، وتكبرون عشرا"، تابعه عبيد الله بن عمر، عن سمي، ورواه ابن عجلان، عن سمي، ورجاء بن حيوة، ورواه جرير، عن عبد العزيز بن رفيع، عن ابي صالح، عن ابي الدرداء، ورواه سهيل، عن ابيه، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Mujh se Ishaq bin Mansoor ne bayan kiya, kaha hum ko Zaid bin Haroon ne khabar di, kaha hum ko Warqa ne khabar di, unhein Sumay ne, unhein Abu Salih Zhakwan ne aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke sahabah ikraam ne arz kiya: ya Rasool Allah! Maaldaar log buland darajaat aur hamesha rehne wali jannat ki neimaton ko haasil kar le gaye. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh kaise? Sahabah ikraam ne arz kiya jis tarah hum namaz parhte hain woh bhi parhte hain aur jis tarah hum jihad karte hain woh bhi jihad karte hain aur is ke saath woh apna zaaid maal bhi (Allah ke raste mein) kharch karte hain aur hamare paas maal nahi hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kya main tumhein ek aisa amal na batlaoon jis se tum apne aage ke logon ke saath ho jao aur apne peeche aane walon se aage nikal jao aur koi shakhs itna sawab na haasil kar sake jitna tum ne kiya ho, siwa is surat ke jab ke woh bhi wahi amal kare jo tum karo ge (aur woh amal yeh hai) ke har namaz ke baad das martaba «sub-haanallaah» parha karo, das martaba «al-hamdu lillaah» parha karo aur das martaba «allaahu akbar» parha karo. Is ki riwayat Ubaidullah bin Umar ne Sumay aur Rajaa bin Haywah se ki aur is ki riwayat Jareer ne Abdul Aziz bin Rafee se ki, in se Abu Salih ne aur in se Abu al-Darda razi Allahu anhu ne. Aur is ki riwayat Suhayl ne apne walid se ki, in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة