الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان (صفة الصلوة)
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein (Sifat-us-Salat)
باب القراءة فى الفجر:
Bab: Namaz-e-fajr mein Quran Shareef parhna.
Hadith Number: 772
حدثنا مسدد، قال: حدثنا إسماعيل بن إبراهيم، قال: اخبرنا ابن جريج، قال: اخبرني عطاء، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه يقول:" في كل صلاة يقرا فما اسمعنا رسول الله صلى الله عليه وسلم اسمعناكم وما اخفى عنا اخفينا عنكم، وإن لم تزد على ام القرآن اجزات، وإن زدت فهو خير".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abu Awanah Waddah Yashkuri ne Abu Bishr se byaan kiya , unhon ne Saeed bin Jubayr se , unhon ne Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma se , unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek marteba chand Sahabah razi Allahu anhum ke saath Ukaz ke bazaar ki taraf gaye . Un dinon shayateen ko aasman ki khabrein lene se rok diya gaya tha aur un par angaare (shihab thaqib) phenke jane lage thay . To woh shayateen apni qom ke paas aye aur poocha ke baat kya hui . Unhon ne kaha ke hamein aasman ki khabrein lene se rok diya gaya hai aur (jab hum aasman ki taraf jate hain to) hum par shihab thaqib phenke jate hain . Shayateen ne kaha ke aasman ki khabrein lene se rokne ki koi nayi wajah hui hai . Is liye tum mashriq o maghrib mein har taraf phail jao aur us sabab ko maloom karo jo tumhein aasman ki khabrein lene se rokne ka sabab hua hai . Wajah maloom karne ke liye nikle huay shayateen Tihamah ki taraf gaye jahan Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Ukaz ke bazaar ko jate huay maqaam Nakhlah mein apne ashaab ke saath namaaz Fajr parh rahe thay . Jab Quran Majeed unhon ne suna to ghaur se us ki taraf kaan laga diye . Phir kaha , Allah ki qasam! yahi hai jo aasman ki khabrein sunne se rokne ka baais bana hai . Phir woh apni qom ki taraf lote aur kaha qom ke lo! hum ne hairat angez Quran suna jo seedhe raaste ki taraf hidayat karta hai . Is liye hum is par imaan late hain aur apne Rab ke saath kisi ko shareek nahi thehrate . Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam par yeh aayat naazil hui «Qul oohiya ilay» (Aap kahiye ke mujhe wahi ke zariye bataya gaya hai) aur Aap par jinnon ki guftugu wahi ki gayi thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 756
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا سفيان، قال: حدثنا الزهري، عن محمود بن الربيع، عن عبادة بن الصامت، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" لا صلاة لمن لم يقرا بفاتحة الكتاب".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , kaha ke hum se Zuhri ne byaan kiya Mahmood bin Rabee se , unhon ne Ubadah bin Samit razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , jis shakhs ne Surah Fatihah na parhi us ki namaaz nahi hui .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة