الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {فاقرءوا ما تيسر من القرآن} :
Allah Taala ka (Surat Al-Muzzammil mein) farmaan pas Quran mein se woh parho jo tum se aasani se ho sake (yani namaz mein).
Hadith Number: 7550
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، حدثني عروة، ان المسور بن مخرمة وعبد الرحمن بن عبد القاري، حدثاه انهما سمعا عمر بن الخطاب، يقول: سمعت هشام بن حكيم،" يقرا: سورة الفرقان في حياة رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاستمعت لقراءته، فإذا هو يقرا على حروف كثيرة لم يقرئنيها رسول الله صلى الله عليه وسلم، فكدت اساوره في الصلاة، فتصبرت حتى سلم فلببته بردائه، فقلت: من اقراك هذه السورة التي سمعتك تقرا؟، قال: اقرانيها رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: كذبت اقرانيها على غير ما قرات، فانطلقت به اقوده إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: إني سمعت هذا يقرا سورة الفرقان على حروف لم تقرئنيها، فقال: ارسله اقرا يا هشام، فقرا القراءة التي سمعته، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: كذلك انزلت، ثم قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اقرا يا عمر، فقرات التي اقراني، فقال: كذلك انزلت إن هذا القرآن انزل على سبعة احرف فاقرءوا ما تيسر منه".
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , in se Aqeel ne , in se Ibn Shihab ne , kaha mujh se Urwah bin Zubayr ne bayan kiya , in se Miswar bin Makhrama aur Abd-ul-Rahman bin Abd-ul-Qaari ne , in donon ne Umar bin Khattab razi Allahu anhuse suna , unhon ne bayan kiya ke main ne Hisham bin Hakeem razi Allahu anhuko Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki zindagi mein Surah al-Furqan parhte suna . Main ne dekha ke woh Quran Majeed bahut se aise tariqon se parh rahe thay jo Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamain nahi parhaye thay . Qareeb thu ke namaz hi mein in par main hal-la kar doon lekin main ne sabr se kaam liya aur jab unhon ne salam phera to main ne in ki gardan mein apni chadar ka phanda laga diya aur in se kaha tumhein yeh surat is tarah kis ne parhayi jise main ne abhi tum se suna . Unhon ne kaha ke mujhe is tarah Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne parhayi hai . Main ne kaha tum jhoote ho , mujhe khud Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is se mukhtalif qiraat sikhayi hai jo tum parh rahe thay . Chunanche main unhein khainchta hua Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas le gaya aur arz kiya ke main ne is shakhs ko Surah al-Furqan is tarah parhte suna jo Aap ne mujhe nahi sikhayi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhein chhorr do . Hisham! tum parh kar sunao . Unhon ne wahi qiraat parhi jo main in se sun chuka thu . Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke isi tarah yeh surat nazil hui hai . Ae Umar! ab tum parho! main ne is qiraat ke mutabiq parha jo Aap salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe sikhayi ku . Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is tarah bhi nazil hui hai . Yeh Quran Arab ki saat boliyon par utara gaya hai . Pas tumhein jis qiraat mein sahoolat ho parho .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2419
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عروة بن الزبير، عن عبد الرحمن بن عبد القاري، انه قال: سمعت عمر بن الخطاب رضي الله عنه، يقول:" سمعت هشام بن حكيم بن حزام يقرا سورة الفرقان على غير ما اقرؤها، وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم اقرانيها، وكدت ان اعجل عليه، ثم امهلته حتى انصرف، ثم لببته بردائه، فجئت به رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: إني سمعت هذا يقرا على غير ما اقراتنيها، فقال لي: ارسله، ثم قال له: اقرا، فقرا، قال: هكذا انزلت، ثم قال لي: اقرا، فقرات، فقال: هكذا انزلت، إن القرآن انزل على سبعة احرف، فاقرءوا منه ما تيسر".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, unhein Urwah Bin Zubair (Radi Allahu Anhu) ne, unhein Abdur Rahman Bin Abdul Qaari ne ke unhon ne Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) se suna ke wo bayan karte thay ke mein ne Hisham Bin Hakim Bin Hizam (Radi Allahu Anhu) ko Surah Al-Furqan ek dafa is qirat se parhte suna jo is ke khilaf thi jo mein parhta tha. Halankay meri qirat khud Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujhe sikhayi thi. Qareeb tha ke mein furan hi un par kuch kar baithoon, lekin mein ne unhein muhlat di ke wo (namaz se) farigh ho lein. Is ke baad mein ne un ke gale mein chadar daal kar in ko ghaseeta aur Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir kiya. Mein ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se kaha ke mein ne unhein is qirat ke khilaf parhte suna hai jo Aap ne mujhe sikhayi hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujh se farmaya ke pehle unhein chhor day. Phir in se farmaya ke accha ab tum qirat sunao. Unhon ne wahi apni qirat sunayi. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke isi tarah nazil hui thi. Is ke baad mujh se Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ab tum bhi parho, mein ne bhi parh kar sunaya. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is par farmaya ke isi tarah nazil hui. Quran saat qiraton mein nazil hua hai. Tum ko jis mein aasani ho isi tarah se parh liya karo
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3219
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني سليمان، عن يونس، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة بن مسعود، عن ابن عباسرضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" اقراني جبريل على حرف فلم ازل استزيده حتى انتهى إلى سبعة احرف".
Hum se Ismail Bin Abi Idrees ne bayan kiya, kaha ke mujh se Sulaiman Bin Bilal ne bayan kiya, un se Yunus Bin Yazid ne, un se Ibn Shihab Zuhri ne, un se Ubaidullah Bin Abdullah Bin Utba Bin Masood ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jibrail Alaihis Salam ne Quran Majeed mujhe (Arab ke) ek hi muhaware ke mutabiq parh kar sikhaya tha, lekin mein is mein barabar izafa ki khwahish ka izhar karta raha, ta-aanke Arab ke saat muhawaron par is ka nazool hua."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4991
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: حدثني عبيد الله بن عبد الله، ان عبد الله بن عباس رضي الله عنهما حدثه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" اقراني جبريل على حرف فراجعته فلم ازل استزيده، ويزيدني حتى انتهى إلى سبعة احرف".
Hum se Saeed bin Afir ne byaan kiya , kaha ke mujh se Layth bin Saad ne byaan kiya , kaha ke mujh se Ubaydullah bin Abdullah ne byaan kiya aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Jibraeel alaihissalam ne mujhko (pehle) Arab ke ek hi muhaware par Quran parhaya . Main ne in se kaha (is mein bahut sakhti ho gi) main barabar in se kehta raha ke aur muhawaron mein bhi parhne ki ijazat do . Yahan tak ke saat muhawaron ki ijazat mili .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4992
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: حدثني عروة بن الزبير، ان المسور بن مخرمة، وعبد الرحمن بن عبد القاري حدثاه، انهما سمعا عمر بن الخطاب، يقول: سمعت هشام بن حكيم بن حزام يقرا سورة الفرقان في حياة رسول الله صلى الله عليه وسلم فاستمعت لقراءته، فإذا هو يقرا على حروف كثيرة لم يقرئنيها رسول الله صلى الله عليه وسلم فكدت اساوره في الصلاة فتصبرت، حتى سلم فلببته بردائه، فقلت: من اقراك هذه السورة التي سمعتك تقرا؟ قال: اقرانيها رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: كذبت، فإن رسول الله صلى الله عليه وسلم قد اقرانيها على غير ما قرات , فانطلقت به اقوده إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: إني سمعت هذا يقرا بسورة الفرقان على حروف لم تقرئنيها، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ارسله، اقرا يا هشام فقرا عليه القراءة التي سمعته يقرا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: كذلك انزلت، ثم قال: اقرا يا عمر، فقرات القراءة التي اقراني، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: كذلك انزلت إن هذا القرآن انزل على سبعة احرف فاقرءوا ما تيسر منه".
Hum se Saeed bin Afir ne byaan kiya , kaha ke mujh se Layth bin Saad ne byaan kiya , kaha ke mujh se Aqeel ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , kaha mujh se Urwah bin Zubayr ne byaan kiya , un se Miswar bin Makhramah aur Abdur Rahman bin Abdul Qari ne byaan kiya , unhon ne Umar bin Khattab razi Allahu anhu se suna woh byaan karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zindagi mein , main ne Hisham bin Hakeem ko Surah al-Furqan namaz mein parhte suna , main ne in ki qirat ko ghaur se suna to maloom hua ke woh surat mein aise huroof parh rahe hain ke mujhe is tarah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne nahi parhaya tha , qareeb tha ke main un ka sar namaz hi mein pakar leta lekin main ne bari mushkil se sabr kiya aur jab unhon ne salam phera to main ne in ki chadar se in ki gardan baandh kar poocha yeh surat jo main ne abhi tumhein parhte huay suni hai , tumhein kis ne is tarah parhayi hai ? Unhon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe isi tarah parhayi hai , main ne kaha tum jhoot bolte ho . Khud Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe is se mukhtalif doosre harfon se parhayi jis tarah tum parh rahe thay . Aakhir main unhein khainchta hua Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya ke main ne is shakhs se Surah al-Furqan aise harfon mein parhte suni jin ki Aap ne mujhe taleem nahi di hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Umar razi Allahu anhu tum pehle unhein chhor do aur Ae Hisham! Tum parh ke sunao . Unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne bhi in hi harfon mein parha jin mein main ne unhein namaz mein parhte suna tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne sun kar farmaya ke yeh surat isi tarah nazil hui hai . Phir farmaya Umar! Ab tum parh kar sunao main ne is tarah parha jis tarah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe taleem di thi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne usay bhi sun kar farmaya ke isi tarah nazil hui hai . Yeh Quran saat harfon par nazil hua hai pas tumhein jis tarah aasan ho parho .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5041
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عروة بن الزبير، عن حديث المسور بن مخرمة، وعبد الرحمن بن عبد القاري، انهما سمعا عمر بن الخطاب يقول: سمعت هشام بن حكيم بن حزام يقرا سورة الفرقان في حياة رسول الله صلى الله عليه وسلم فاستمعت لقراءته، فإذا هو يقرؤها على حروف كثيرة لم يقرئنيها رسول الله صلى الله عليه وسلم، فكدت اساوره في الصلاة، فانتظرته حتى سلم فلببته، فقلت: من اقراك هذه السورة التي سمعتك تقرا؟ قال: اقرانيها رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت له: كذبت، فوالله إن رسول الله صلى الله عليه وسلم لهو اقراني هذه السورة التي سمعتك، فانطلقت به إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم اقوده، فقلت: يا رسول الله، إني سمعت هذا يقرا سورة الفرقان على حروف لم تقرئنيها، وإنك اقراتني سورة الفرقان، فقال:" يا هشام، اقراها؟" فقراها القراءة التي سمعته، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" هكذا انزلت"، ثم قال:" اقرا يا عمر"، فقراتها التي اقرانيها، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" هكذا انزلت"، ثم قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن القرآن انزل على سبعة احرف، فاقرءوا ما تيسر منه".
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Shuayb ne khabar di , un se Zuhri ne byaan kiya , kaha ke mujh ko Urwah bin Zubayr ne Masood bin Makhramah aur Abdur Rahman bin Abdul Qari se khabar di ke in donon ne Umar bin Khattab razi Allahu anhu se suna , unhon ne kaha ke main ne Hisham bin Hakeem bin Hizam razi Allahu anhu ko Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki zindagi mein Surah al-Furqan parhte suna . Main in ki qirat ko ghaur se sunne laga to maloom hua ke woh aise bahut se tariqon mein tilawat kar rahe thay jinhein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne hamain nahi sikhaya tha . Mumkin thu ke main namaz hi mein in ka sar pakar leta lekin main ne intizar kiya aur jab unhon ne salam phera to main ne in ke gale mein chadar lapait di aur poocha yeh surtein jinhein abhi abhi tumhein parhte huay main ne suna hai tumhein kis ne sikhayi hain ? Unhon ne kaha ke mujhe is tarah in suraton ko Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne sikhaya hai . Main ne kaha ke tum jhoot bol rahe ho . Khud Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe bhi yeh surtein parhayi hain jo main ne tum se sunien . Main unhein khainchte huay Aap salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya: ya Rasool Allah! Main ne khud suna ke yeh shakhs Surah al-Furqan aaisi qirat se parh raha tha . Jis ki taleem Aap ne hamain nahi di hai Aap mujhe bhi Surah al-Furqan parha chuke hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Hisham! Parh kar sunao . Unhon ne isi tarah is ki qirat ki jis tarah main in se sun chuka tha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke isi tarah yeh surat nazil hui hai . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Umar! Ab tum parho . Main ne bhi isi tarah qirat ki jis tarah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe sikhaya tha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke isi tarah yeh surat nazil hui thi . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Quran Majeed saat qism ki qiraton par nazil hua hai bas tumhare liye jo aasan ho is ke mutabiq parho .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة