الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان (صفة الصلوة)
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein (Sifat-us-Salat)
باب وجوب القراءة للإمام والمأموم فى الصلوات كلها فى الحضر والسفر وما يجهر فيها وما يخافت:
Bab: Imam aur muqtadi ke liye qira’at ka wajib hona, hazar aur safar har haalat mein, siri aur jahri sab namazon mein.
Show diacritics
Hadith Number: 755
حدثنا موسى، قال: حدثنا ابو عوانة، قال: حدثنا عبد الملك بن عمير، عن جابر بن سمرة، قال:" شكا اهل الكوفة سعدا إلى عمر رضي الله عنه، فعزله واستعمل عليهم عمارا فشكوا حتى ذكروا انه لا يحسن يصلي، فارسل إليه، فقال: يا ابا إسحاق، إن هؤلاء يزعمون انك لا تحسن تصلي، قال ابو إسحاق: اما انا والله فإني كنت اصلي بهم صلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم ما اخرم عنها اصلي صلاة العشاء فاركد في الاوليين واخف في الاخريين، قال: ذاك الظن بك يا ابا إسحاق، فارسل معه رجلا او رجالا إلى الكوفة فسال عنه اهل الكوفة ولم يدع مسجدا إلا سال عنه ويثنون معروفا، حتى دخل مسجدا لبني عبس فقام رجل منهم يقال له اسامة بن قتادة يكنى ابا سعدة قال: اما إذ نشدتنا فإن سعدا كان لا يسير بالسرية ولا يقسم بالسوية ولا يعدل في القضية، قال سعد: اما والله لادعون بثلاث، اللهم إن كان عبدك هذا كاذبا قام رياء وسمعة فاطل عمره واطل فقره وعرضه بالفتن، وكان بعد إذا سئل يقول شيخ كبير مفتون اصابتني دعوة سعد، قال عبد الملك: فانا رايته بعد قد سقط حاجباه على عينيه من الكبر، وإنه ليتعرض للجواري في الطرق يغمزهن".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Awanah Waddah Yashkuri ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdul Malik bin Umayr ne Jabir bin Samurah razi Allahu anhu se byaan kiya , kaha ke ahl Kufa ne Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu ki Umar Farooq razi Allahu anhu se shikayat ki . Is liye Umar razi Allahu anhu ne un ko mazool kar ke Ammar razi Allahu anhu ko Kufa ka haakim banaya , to Kufa walon ne Saad ke mutalliq yahan tak keh diya ke woh to achhi tarah namaaz bhi nahi parha sakte . Chunanchay Umar razi Allahu anhu ne un ko bula bheja . Aap ne un se poocha ke aye Abu Ishaq! un Kufa walon ka khayal hai ke tum achhi tarah namaaz nahi parha sakte ho . Is par Aap ne jawab diya ke Allah ki qasam! main to unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hi ki tarah namaaz parhata tha , is mein kotahi nahi karta Isha ki namaaz parhata to us ki do pehli rakaton mein (qiraat) lambi karta aur doosri do rakatein halki parhata . Umar razi Allahu anhu ne farmaya ke aye Abu Ishaq! mujh ko tum se umeed bhi yahi thi . Phir Aap ne Saad razi Allahu anhu ke saath ek ya kayi aadmiyon ko Kufa bheja . Qasid ne har har masjid mein ja kar un ke mutalliq poocha . Sab ne Aap ki tareef ki lekin jab masjid Bani Abs mein gaye . To ek shakhs jis ka naam Usamah bin Qatadah aur kuniyat Abu Saadah thi khara hua . Us ne kaha ke jab Aap ne Allah ka wasta de kar poocha hai to (suniye ke) Saad na fauj ke saath khud jihad karte thay , na maal ghaneemat ki taqseem sahi karte thay aur na faisle mein adl o insaaf karte thay . Saad razi Allahu anhu ne (yeh sun kar) farmaya ke Allah ki qasam main (tumhari is baat par) teen duayen karta hoon . Aye Allah! agar tera yeh banda jhoota hai aur sirf riya o numood ke liye khara hua hai to us ki umar daraaz kar aur usay khoob mohtaaj bana aur usay fitnon mein mubtala kar . Us ke baad (woh shakhs is darja badhaal hua ke) jab us se poocha jata to kehta ke ek boodha aur pareshan haal hoon mujhe Saad razi Allahu anhu ki baddua lag gayi . Abdul Malik ne byaan kiya ke main ne usay dekha us ki bhonwein barhapa ki wajah se aankhon par aa gayi thi . Lekin ab bhi raaston mein woh larkiyon ko chherhta .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 758
حدثنا ابو النعمان، حدثنا ابو عوانة، عن عبد الملك بن عمير، عن جابر بن سمرة، قال: قال سعد:" كنت اصلي بهم صلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم صلاتي العشي لا اخرم عنها، اركد في الاوليين واحذف في الاخريين"، فقال عمر رضي الله عنه: ذلك الظن بك.
Hum se Abun Numan Muhammad bin Fadl ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Awanah Waddah Yashkuri ne Abdul Malik bin Umayr se byaan kiya , unhon ne Jabir bin Samurah se ke Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu ne Umar razi Allahu anhu se kaha main un (Kufa walon) ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki tarah namaaz parhata tha . Zuhr aur Asr ki donon namazen , kisi qism ka nuqs un mein nahi chhorta tha . Pehli do rakatein lambi parhta aur doosri do rakatein halki . To Umar razi Allahu anhu ne farmaya ke mujh ko tum se umeed bhi yahi thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 770
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا شعبة، عن ابي عون، قال: سمعت جابر بن سمرة، قال: قال عمر لسعد: لقد شكوك في كل شيء حتى الصلاة، قال:" اما انا فامد في الاوليين واحذف في الاخريين، ولا آلو ما اقتديت به من صلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: صدقت ذاك الظن بك او ظني بك".
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke hum se Siyar bin Salamah ne byaan kiya , unhon ne byaan kiya ke main apne baap ke saath Abu Barzah Aslami Sahabi razi Allahu anhu ke paas gaya . Hum ne Aap se namaaz ke waqton ke mutalliq poocha to unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Zuhr ki namaaz sooraj dhalne par parhte thay . Asr jab parhte to Madinah ke intehai kinaare tak ek shakhs chala jata . Lekin sooraj ab bhi baqi rehta . Maghrib ke mutalliq jo kuch Aap ne kaha woh mujhe yaad nahi raha aur Isha ke liye tehayi raat tak der karne mein koi haraj mehsoos nahi karte thay aur Aap is se pehle sone ko aur is ke baad baat cheet karne ko naapasand karte thay . Jab namaaz subah se farigh hote to har shakhs apne qareeb baithe huay ko pehchaan sakta tha . Aap donon rakaton mein ya ek mein saath se le kar sau tak aayatein parhte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة