الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب قول النبى صلى الله عليه وسلم: الماهر بالقرآن مع الكرام البررة :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka irshaad ke "Quran ka maahir (jaid haafiz) (qiyamat ke din) likhne wale farishton ke saath ho ga jo izzat wale aur Allah ke taab'edar hain".
Hadith Number: 7546
حدثنا ابو نعيم، حدثنا مسعر، عن عدي بن ثابت، اراه قال: سمعت البراء قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقرا في العشاء:" والتين والزيتون فما سمعت احدا احسن صوتا، او قراءة منه".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , kaha hamase Mis-ar ne , in se Adi bin Sabit ne , mera yaqeen hai ke unhon ne Bara bin Azib se naqal kiya , unhon ne kaha ke main ne Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam se suna ke Aap Isha ki namaz mein «wat-teeni waz-zhaitooni» parh rahe thay , main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se zyada behtareen aawaz se Quran parhte huay kisi ko nahi suna .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 767
حدثنا ابو الوليد، قال: حدثنا شعبة، عن عدي، قال: سمعت البراء،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان في سفر فقرا في العشاء في إحدى الركعتين بالتين والزيتون".
Hum se Khalad bin Yahya ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Masar bin Kidam ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Adi bin Thabit ne kaha . Unhon ne Bara razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko Isha mein «Wat teeni waz zaytoon» parhte suna . Main ne Aap salla Allahu alaihi wasallam se zyada achhi awaaz ya achhi qiraat wala kisi ko nahi paya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 769
حدثنا خلاد بن يحيى، قال: حدثنا مسعر، قال: حدثنا عدي بن ثابت، سمع البراء رضي الله عنه، قال:" سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقرا: والتين والزيتون في العشاء، وما سمعت احدا احسن صوتا منه او قراءة".
Aur Umm al-Momineen Umm Salamah razi Allahu anha ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Surah Tur parhi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4952
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني عدي، قال: سمعت البراء رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم كان في سفر، فقرا في العشاء في إحدى الركعتين ب والتين والزيتون سورة التين آية 1 تقويم سورة التين آية 4: الخلق".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya , unhon ne kaha mujhe Adi bin Sabit ne khabar di , unhon ne kaha ke main ne Bara bin Azib razi Allahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek safar mein thay aur Isha ki ek rakat mein Aap ne Surah wat-Teen ki tilawat farmayi thi . «taqweemin» ke maani paidaish , banawat ke hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة