الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {وأسروا قولكم أو اجهروا به إنه عليم بذات الصدور ألا يعلم من خلق وهو اللطيف الخبير} :
Allah Taala ka (Surat Al-Mulk mein) irshaad "apni baat aahista se kaho ya zor se Allah Taala dil ki baaton ko jaanne wala hai. Kya woh isay nahin jaanega jo us ne paida kiya aur woh bohot bareek dekhne wala aur khabardaar hai".
Hadith Number: 7526
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" نزلت هذه الآية: ولا تجهر بصلاتك ولا تخافت بها سورة الإسراء آية 110 في الدعاء".
Hum se Ubaid bin Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya , in se Hisham ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke aayat «wa laa taj-har bi-salaatika wa laa tukhaafit bi-haa» dua ke baare mein nazil hui , yani dua na bahut chilla kar maang na aahista balkay darmiyana raasta ikhtiyar kar .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4723
حدثني طلق بن غنام، حدثنا زائدة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" انزل ذلك في الدعاء".
Mujh se Talq bin Ghannam ne byaan kiya , kaha hum se Za'ida bin Qudamah ne byaan kiya , un se Hisham bin Urwah ne , un se un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke yeh aayat dua ke silsile mein nazil hui hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة