الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {وَلاَ تَجْهَرْ بِصَلاَتِكَ وَلاَ تُخَافِتْ بِهَا}:
Chapter. "…And offer your Salat (prayer) neither aloud nor in a low voice...”(V.17:110)
Hadith Number: 4722
حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا هشيم، حدثنا ابو بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، في قوله تعالى: ولا تجهر بصلاتك ولا تخافت بها سورة الإسراء آية 110، قال:" نزلت ورسول الله صلى الله عليه وسلم مختف بمكة، كان إذا صلى باصحابه رفع صوته بالقرآن، فإذا سمعه المشركون سبوا القرآن، ومن انزله، ومن جاء به، فقال الله تعالى لنبيه صلى الله عليه وسلم: ولا تجهر بصلاتك سورة الإسراء آية 110 اي بقراءتك، فيسمع المشركون، فيسبوا القرآن، ولا تخافت بها سورة الإسراء آية 110 عن اصحابك، فلا تسمعهم، وابتغ بين ذلك سبيلا".
Hum se Yaqoob bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha hum se Hushaym bin Bashir ne byaan kiya , kaha hum se Abu Bishr ne byaan kiya , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne Allah Ta'ala ke irshad «wa la tajhar bi-salatika wa la tukhaafit biha» ”aur Aap namaz mein na to bahut pukar kar parh-ye aur na (bilkul) chupke hi chupke“ ke mutalliq farmaya ke yeh aayat is waqt nazil hui thi jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Makkah mein (kafiron ke darr se) chhupay rehte to is zamana mein jab Aap apne sahabah ke saath namaz parhte to Quran Majeed ki tilawat buland aawaz se karte , mushrikeen sunte to Quran ko bhi gaali dete aur is ke nazil karne wale aur is ke laane wale ko bhi . Isi liye Allah Ta'ala ne apne Nabi se kaha ke Aap namaz na to bahut pukar kar parhein (yani qirat khoob jahar ke saath na karein) ke mushrikeen sun kar gaaliyan dein aur na bilkul chupke hi chupke ke Aap ke sahabah bhi na sun sakein , balkay darmiyani aawaz mein parha karein .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4723
حدثني طلق بن غنام، حدثنا زائدة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" انزل ذلك في الدعاء".
Mujh se Talq bin Ghannam ne byaan kiya , kaha hum se Za'ida bin Qudamah ne byaan kiya , un se Hisham bin Urwah ne , un se un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke yeh aayat dua ke silsile mein nazil hui hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة