الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة الْكَهْفِ:
SURAT KAHF (The Cave)
Hadith Number: Q4724
وقال مجاهد: تقرضهم: تتركهم، وكان له ثمر: ذهب وفضة، وقال غيره: جماعة الثمر، باخع، مهلك، اسفا: ندما الكهف الفتح في الجبل، والرقيم الكتاب مرقوم مكتوب من الرقم، ربطنا على قلوبهم: الهمناهم صبرا، لولا ان ربطنا على قلبها شططا: إفراطا الوصيد الفناء جمعه، وصائد ووصد، ويقال الوصيد الباب، مؤصدة: مطبقة آصد الباب، واوصد، بعثناهم: احييناهم، ازكى: اكثر، ويقال: احل، ويقال: اكثر ريعا، قال ابن عباس: اكلها ولم تظلم: لم تنقص، وقال سعيد، عن ابن عباس: الرقيم اللوح من رصاص كتب عاملهم اسماءهم، ثم طرحه في خزانته، فضرب الله على آذانهم فناموا، وقال غيره: والت تئل تنجو، وقال مجاهد: موئلا: محرزا، لا يستطيعون سمعا: لا يعقلون.
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya , kaha hum se Yaqoob bin Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , kaha hum se mere walid ne byaan kiya , un se Salih ne , un se Ibn Shihab ne , kaha mujhe Ali bin Husain ne khabar di , unhein Husain bin Ali razi Allahu anhuma ne khabar di aur unhein Ali razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam raat ke waqt un ke aur Fatima razi Allahu anha ke ghar aaye aur farmaya . Tum log tahajjud ki namaz nahi parhte (aakhir hadees tak) . «rajman bil-ghaybi» yani suni sunayi aur un ko khud kuch ilm nahi . «furutan» nadamat , sharmindagi . «suradiquha» yani qanaton ki tarah sab taraf se un ko aag gher le gi jaise kothri ko sab taraf se khaime gher lete hain . «yuhaawiruhu» , «muhaawaratun» se nikla hai yani guftagu karna , takrar karna . «laakinna huwallahu rabbi» asal mein «laakin ana huwallahu rabbi» tha «ana» ka hamza hazf kar ke noon ko noon mein idgham kar diya «laakinna» ho gaya . «khilaala-huma naharan» yani «baynahuma» un ke beech mein . «zalaqan» chakna , saaf jis par paon phisle (jame nahi) . «hunaalika-l-wilayatu» , «wilayatun» , «waliyyun» ka masdar hai . «uquban» , «aaqibatun» isi tarah «uqba» aur «uqubatun» sab ka ek hi maani hai yani aakhirat . «qubulan» aur «qibalun» aur «qubulun» (teenon tarah parha hai) yani samne aana . «liyudhidu» , «dahadun» se nikla hai yani phislana (matlab yeh hai ke haq baat ko nahaq karein) .