الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {يريدون أن يبدلوا كلام الله} :
Allah Taala ka (Surat Al-Fath) irshaad "ye gawaar chahte hain ke Allah ka kalaam badal den".
Show diacritics
Hadith Number: 7505
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: قال الله:" انا عند ظن عبدي بي".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, kaha hum se Abuz Zinad ne bayan kiya, un se A'raj ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Allah Ta'ala farmata hai ke Mein apne bande ke guman ke saath hoon jo wo Mere mutalliq rakhta hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7405
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، سمعت ابا صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم يقول الله تعالى:" انا عند ظن عبدي بي، وانا معه إذا ذكرني، فإن ذكرني في نفسه ذكرته في نفسي، وإن ذكرني في ملإ ذكرته في ملإ خير منهم، وإن تقرب إلي بشبر تقربت إليه ذراعا، وإن تقرب إلي ذراعا تقربت إليه باعا، وإن اتاني يمشي اتيته هرولة".
Hum se Umar bin Hafs ne bayan kiya, kaha hum se hamare walid ne, kaha hum se Aamash ne, kaha main ne Abu Salih se suna aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta'ala farmata hai ke main apne bande ke guman ke saath hoon aur jab woh mujhe apne dil mein yaad karta hai to main bhi usay apne dil mein yaad karta hoon aur jab woh mujhe majlis mein yaad karta hai to main usay is se behtar farishton ki majlis mein usay yaad karta hoon aur agar woh mujh se ek balisht qareeb aata hai to main is se ek hath qareeb ho jata hoon aur agar woh mujh se ek hath qareeb aata hai to main is se do hath qareeb ho jata hoon aur agar woh meri taraf chal kar aata hai to main is ke paas dour kar aa jata hoon.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7536
حدثني محمد بن عبد الرحيم، حدثنا ابو زيد سعيد بن الربيع الهروي، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم يرويه عن ربه، قال:" إذا تقرب العبد إلي شبرا تقربت إليه ذراعا، وإذا تقرب مني ذراعا تقربت منه باعا، وإذا اتاني مشيا اتيته هرولة".
Mujh se Muhammad bin Abd-ur-Rahim ne bayan kiya , kaha hum se Abu Zayd bin Rabee Harwi ne , kaha hum se Shubah ne , in se Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhune ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apne Rabb se riwayat kiya ke Allah Paak farmata hai ke jab banda mujh se ek balisht qareeb hota hai to main ek hath is se qareeb hota hoon aur jab banda mujh se ek hath qareeb hota hai to main is se do hath qareeb hota hoon aur jab woh meere paas paidal chal kar aata hai to main dour kar aa jata hoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7537
حدثنا مسدد، عن يحيى، عن التيمي، عن انس بن مالك، عن ابي هريرة، قال: ربما ذكر النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا تقرب العبد مني شبرا تقربت منه ذراعا، وإذا تقرب مني ذراعا تقربت منه باعا، او بوعا"، وقال معتمر، سمعت ابي، سمعت انسا، عن النبي صلى الله عليه وسلم يرويه، عن ربه عز وجل.
Hum se Musaddad ne bayan kiya , in se Yahya ne , in se Tameemi ne , in se Anas bin Malik razi Allahu anhune aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhune bayan kiya ke aksar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (Allah Ta'ala farmata hai ke) jab banda mujh se ek balisht qareeb hota hai to main is se ek hath qareeb ho jata hoon aur jab woh ek hath qareeb aata hai to main is se do hath qareeb hota hoon . Aur Mutamir ne kaha ke main ne apne walid se suna , unhon ne Anas razi Allahu anhuse suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apne Rabb Az-za wa Jal se riwayat karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة