الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {ولا تنفع الشفاعة عنده إلا لمن أذن له حتى إذا فزع عن قلوبهم قالوا ماذا قال ربكم قالوا الحق وهو العلي الكبير} :
Allah Taala ka irshaad "aur us ke haan kisi ki shafa'at baghair Allah ki ijazat ke faaida nahin de sakti, (wahan farishton ka bhi yeh haal hai) ke jab Allah Pak koi hukm utaarta hai to farishte isay sun kar Allah ke khauf se ghabra jaate hain yahan tak ke jab un ki ghabrahat door hoti hai to woh aapas mein poochhte hain ke tumhare Rabb ka kya irshaad hua hai woh farishte kehte hain ke jo kuch us ne farmaya woh haq hai aur woh buland hai bara hai".
Show diacritics
Hadith Number: 7484
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" ما غرت على امراة ما غرت على خديجة ولقد امره ربه ان يبشرها ببيت في الجنة".
Hum se Ubaid bin Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya , in se Hisham ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke jis qadar mujhe Khadija razi Allahu anha par ghairat aati thi aur kisi aurat par nahi aati thi aur in ke Rabb ne hukm diya thu ke unhein jannat mein ek ghar ki bisharat de dein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3816
حدثنا سعيد بن عفير، حدثنا الليث، قال: كتب إلي هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" ما غرت على امراة للنبي صلى الله عليه وسلم ما غرت على خديجة هلكت قبل ان يتزوجني لما كنت اسمعه يذكرها وامره الله ان يبشرها ببيت من قصب، وإن كان ليذبح الشاة فيهدي في خلائلها منها ما يسعهن".
Hum se Saeed Bin Afir ne bayan kiya, kaha hum se Lais ne bayan kiya, kaha ke Hisham ne mere paas apne walid (Urwah) se likh kar bheja ke Aisha Radi Allahu Anha ne kaha Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki kisi biwi ke mamla mein, mein ne itni ghairat nahi mehsoos ki jitni ghairat Khadijah Radi Allahu Anha ke mamla mein mehsoos karti thi wo mere nikah se pehle hi wafat pa chuki theen lekin Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaban se mein un ka zikr sunti rehti thi. Aur Allah Ta'ala ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko hukm diya tha ke unhein (jannat mein) moti ke mahal ki khushkhabri suna dein. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam agar kabhi bakri zibah karte to un se mail mohabbat rakhne wali khawateen ko is mein se itna hadiya bhejte jo un ke liye kafi ho jata
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة