الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب: {وكان عرشه على الماء} ، {وهو رب العرش العظيم} :
(Surat Hud mein Allah Taala ka farmaan) "aur us ka Arsh paani par tha", "aur woh Arsh Azeem ka Rabb hai".
Hadith Number: 7425
حدثنا موسى، عن إبراهيم، حدثنا ابن شهاب، عن عبيد بن السباق، ان زيد بن ثابت، وقال الليث، حدثني عبد الرحمن بن خالد، عن ابن شهاب، عن ابن السباق، ان زيد بن ثابت حدثه، قال:" ارسل إلي ابو بكر، فتتبعت القرآن حتى وجدت آخر سورة التوبة مع ابي خزيمة الانصاري لم اجدها مع احد غيره لقد جاءكم رسول من انفسكم سورة التوبة آية 128 حتى خاتمة براءة"، حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس بهذا، وقال: مع ابي خزيمة الانصاري.
Hum se Musa bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim ne, unhon ne kaha hum se Ibn Shihab ne bayan kiya, in se Ubaid bin Sabbaq ne bayan kiya aur in se Zayd bin Sabit razi Allahu anhu ne bayan kiya. Aur Layth ne bayan kiya, in se Abd-ul-Rahman bin Khalid ne bayan kiya, in se Ibn Shihab ne, in se Ibn Sabbaq ne aur in se Zayd bin Sabit razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne mujhe bula bheija, phir main ne Quran ki talash ki aur Surah al-Tauba ki aakhri aayat Abu Khuzaymah Ansari razi Allahu anhu ke paas paayi. Yeh aayitein mujhe kisi aur ke paas nahi mili thien «laqad jaaa-akum rasoolum-min anfusikum» Surah Bara-at ke aakhir tak. Hamase Yahya bin Bukayr ne bayan kiya, in se Layth ne bayan kiya aur in se Yunus ne yahi bayan kiya ke Abu Khuzaymah Ansari razi Allahu anhu ke paas Surah Tauba ki aakhri aayitein paayin.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2807
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، حدثني إسماعيل، قال: حدثني اخي، عن سليمان اراه، عن محمد بن ابي عتيق، عن ابن شهاب، عن خارجة بن زيد، ان زيد بن ثابت رضي الله عنه، قال نسخت الصحف في المصاحف، ففقدت آية من سورة الاحزاب كنت اسمع رسول الله صلى الله عليه وسلم" يقرا بها فلم اجدها إلا مع خزيمة بن ثابت الانصاري الذي جعل رسول الله صلى الله عليه وسلم شهادته شهادة رجلين" وهو قوله" من المؤمنين رجال صدقوا ما عاهدوا الله عليه" سورة الاحزاب آية 23.
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di Zuhri se, doosri sanad aur mujh se Ismail ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere bhai ne bayan kiya, un se Sulaiman ne, mera khayal hai ke Muhammad Bin Ateeq ke wasta se, un se Ibn Shihab (Zuhri) ne aur un se Kharija Bin Zaid ne ke Zaid Bin Sabit (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke jab Quran Majeed ko ek mushaf (kitabi) ki surat mein jama kiya jaane laga to mein ne Surah Al-Ahzab ki ek aayat nahi payi jis ki Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se barabar Aap ki tilawat karte hue sunta raha tha (jab mein ne use talash kiya to) sirf Khuzaimah Bin Sabit Ansari (Radi Allahu Anhu) ke yahan wo aayat mujhe mili. Ye Khuzaimah (Radi Allahu Anhu) wahi hain jin ki akele ki gawahi ko Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne do aadmiyon ki gawahi ke barabar qarar diya tha. Wo aayat ye thi «mn almwmny n rjal sdqw ma eahdw allh elyh» (Surah Al-Ahzab: 23) "Mominon mein se kuch mard aise hain jinhon ne wo baat sach kahi jis par unhon ne Allah se ahd kiya."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة