الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب قوله تعالى: {وكان الإنسان أكثر شيء جدلا} :
Allah Taala ka (Surat Al-Kahf mein) irshaad "aur insaan sab se zyada jhagdalu hai".
Show diacritics
Hadith Number: 7348
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن سعيد، عن ابيه، عن ابي هريرة، قال: بينا نحن في المسجد، خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" انطلقوا إلى يهود، فخرجنا معه حتى جئنا بيت المدراس، فقام النبي صلى الله عليه وسلم، فناداهم، فقال: يا معشر يهود اسلموا تسلموا، فقالوا قد بلغت يا ابا القاسم، قال: فقال لهم رسول الله صلى الله عليه وسلم: ذلك اريد اسلموا تسلموا، فقالوا: قد بلغت يا ابا القاسم، فقال لهم رسول الله صلى الله عليه وسلم: ذلك اريد، ثم قالها الثالثة، فقال: اعلموا انما الارض لله ورسوله واني اريد ان اجليكم من هذه الارض فمن وجد منكم بماله شيئا فليبعه، وإلا فاعلموا انما الارض لله ورسوله".
`Hum se Qutaiba bin Saeed ne bayan kiya, un se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Said Maqburi ne, un se un ke walid Abu Said Kaisan ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum Masjid-e-Nabwi mein thay ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم bahar tashreef laye aur farmaya ke Yahudiyon ke paas chalo. Chunancha hum Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke saath rawana hue. Jab hum un ke madrasa tak pahunche to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne khade ho kar unhein aawaz di aur farmaya, ay Yahudiyo! Islam lao to tum salamat raho ge. Is par Yahudiyon ne kaha ke Abul Qasim! aap ne Allah ka hukm pahuncha diya. Rawi ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne dobara un se farmaya ke yahi mera maqsad hai, Islam lao to tum salamat raho ge. Unhon ne kaha Abul Qasim! aap ne Allah ka paigam pahuncha diya. Phir aap صلی اللہ علیہ وسلم ne yahi baat teesri baar kahi aur farmaya, jaan lo ke sari zameen Allah aur us ke Rasul ki hai aur mein chahta hoon ke tumhein is jagah se bahar kar doon. Pas tum mein se jo koi apni jayidad ke badle mein koi qimat pata ho to ise bech le warna jaan lo ke zameen Allah aur us ke Rasul ki hai (tum ko yeh shehar chhodna ho ga).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3167
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، قال: حدثني سعيد المقبري، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: بينما نحن في المسجد خرج النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: انطلقوا إلى يهود فخرجنا حتى جئنا بيت المدراس، فقال: اسلموا تسلموا واعلموا ان الارض لله ورسوله، وإني اريد ان اجليكم من هذه الارض فمن يجد منكم بماله شيئا فليبعه، وإلا فاعلموا ان الارض لله ورسوله".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya, kaha ke mujh se Saad Maqbari ne bayan kiya, un se un ke walid (Abu Said) ne ke Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya hum abhi Masjid-e-Nabwi mein maujood thay ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) tashreef laye, aur farmaya ke Yahudiyon ki taraf chalo. Chunanche hum rawana hue aur jab Bait-ul-Midras (Yahudiyon ka madrasa) pahunche to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un se farmaya ke Islam lao to salamti ke sath rahoge aur samajh lo ke zameen Allah aur aur us ke Rasul ki hai. Aur mera irada hai ke tumhein is mulk se nikal doon, phir tum mein se agar kisi ki jayidad ki qemat aaye to ise bech dale. Agar tum is par tayyar nahi ho, to tumhein maloom hona chahiye ke zameen Allah aur us ke Rasul hi ki hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة