الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الِاعْتِصَامِ بِالْكِتَابِ وَالسُّنَّةِ
The Book of Holding Fast To The Qur’An and The Sunna
بَابُ قَوْلِهِ تَعَالَى: {وَكَانَ الإِنْسَانُ أَكْثَرَ شَيْءٍ جَدَلاً}:
Chapter. The Statementof Allah:“...But, man is ever more quarrelsome than anything.”(V.18:54).
Show diacritics
Hadith Number: Q7347
وقوله تعالى: {ولا تجادلوا اهل الكتاب إلا بالتي هي احسن}.
Aur Allah Ta'ala ka irshad (Surah al-Ankabut mein) «Wala tujadiloo ahlal kitabi illa billati hiya ahsan» ”Aur tum ahl-e-kitab se bahs na karo lekin is tariqe se jo accha ho yaani narmi ke saath Allah ke paigambaron aur is ki kitabon ka adab malhooz rakh kar un se bahs karo.“


Show diacritics
Hadith Number: 7347
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري. ح حدثني محمد بن سلام، اخبرنا عتاب بن بشير، عن إسحاق، عن الزهري، اخبرني علي بن حسين، ان حسين بن علي رضي الله عنهما اخبره، ان علي بن ابي طالب قال: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم" طرقه وفاطمة عليها السلام بنت رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال لهم: الا تصلون؟، فقال علي: فقلت: يا رسول الله، إنما انفسنا بيد الله فإذا شاء ان يبعثنا بعثنا، فانصرف رسول الله صلى الله عليه وسلم حين قال له ذلك ولم يرجع إليه شيئا، ثم سمعه وهو مدبر يضرب، فخذه وهو يقول: وكان الإنسان اكثر شيء جدلا سورة الكهف آية 54"، قال ابو عبد الله: يقال ما اتاك ليلا فهو طارق، ويقال الطارق: النجم، والثاقب: المضيء، يقال: اثقب نارك للموقد.
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di (doosri sanad) Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke aur mujh se Muhammad bin Salam Baikandi ne bayan kiya, kaha hum ko Attab bin Basheer ne khabar di, unhein Ishaq ibn Abi Rashid ne, unhein Zuhri ne, unhein Zain al-Aabideen Ali bin Husain Radi Allahu Anhu ne khabar di aur unhein un ke walid Husain bin Ali Radi Allahu Anhu ne khabar di ke Ali bin Abi Talib Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke un ke aur Fatima bint-e-Rasul Allah Alaihim as-Salam was-Salat ke ghar ek raat Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم tashreef laye aur farmaya ke tum log tahajjud ki namaz nahi parhte. Ali Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein ne arz kiya: ya Rasul Allah! hamari jaanein Allah ke haath mein hain pas jab wo humein uthana chahe to hum ko utha de ga. Joun hi mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se yeh kaha to aap peeth mod kar wapas jaane lage aur koi jawab nahi diya lekin wapas jate hue aap apni raan par haath maar rahe thay aur keh rahe thay «Wa kanal insanu aksara shai'in jadala» ”Aur insan bada hi jhagralu hai“ agar koi tumhare paas raat mein aaye to «Tariq» kehlaye ga aur Quran mein jo «wat-Tariq» ka lafz aaya hai is se murad sitara hai aur «Saqib» ba-ma'ni chamakta hua. Arab log aag jalane wale se kehte hain «Saqib naraka» yaani aag roshan kar. Is se lafz «Saqib» hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7348
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن سعيد، عن ابيه، عن ابي هريرة، قال: بينا نحن في المسجد، خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" انطلقوا إلى يهود، فخرجنا معه حتى جئنا بيت المدراس، فقام النبي صلى الله عليه وسلم، فناداهم، فقال: يا معشر يهود اسلموا تسلموا، فقالوا قد بلغت يا ابا القاسم، قال: فقال لهم رسول الله صلى الله عليه وسلم: ذلك اريد اسلموا تسلموا، فقالوا: قد بلغت يا ابا القاسم، فقال لهم رسول الله صلى الله عليه وسلم: ذلك اريد، ثم قالها الثالثة، فقال: اعلموا انما الارض لله ورسوله واني اريد ان اجليكم من هذه الارض فمن وجد منكم بماله شيئا فليبعه، وإلا فاعلموا انما الارض لله ورسوله".
`Hum se Qutaiba bin Saeed ne bayan kiya, un se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Said Maqburi ne, un se un ke walid Abu Said Kaisan ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum Masjid-e-Nabwi mein thay ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم bahar tashreef laye aur farmaya ke Yahudiyon ke paas chalo. Chunancha hum Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke saath rawana hue. Jab hum un ke madrasa tak pahunche to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne khade ho kar unhein aawaz di aur farmaya, ay Yahudiyo! Islam lao to tum salamat raho ge. Is par Yahudiyon ne kaha ke Abul Qasim! aap ne Allah ka hukm pahuncha diya. Rawi ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne dobara un se farmaya ke yahi mera maqsad hai, Islam lao to tum salamat raho ge. Unhon ne kaha Abul Qasim! aap ne Allah ka paigam pahuncha diya. Phir aap صلی اللہ علیہ وسلم ne yahi baat teesri baar kahi aur farmaya, jaan lo ke sari zameen Allah aur us ke Rasul ki hai aur mein chahta hoon ke tumhein is jagah se bahar kar doon. Pas tum mein se jo koi apni jayidad ke badle mein koi qimat pata ho to ise bech le warna jaan lo ke zameen Allah aur us ke Rasul ki hai (tum ko yeh shehar chhodna ho ga).


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain