الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب إثم من دعا إلى ضلالة أو سن سنة سيئة:
Is ka gunaah jo kisi gumraahi ki taraf bulaye ya koi buri rasm qaim kare.
Hadith Number: 7321
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا الاعمش، عن عبد الله بن مرة، عن مسروق، عن عبد الله، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ليس من نفس تقتل ظلما إلا كان على ابن آدم الاول كفل منها"، وربما قال سفيان: من دمها لانه اول من سن القتل اولا.
`Hum se Abdullah bin Zubair Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne, kaha hum se A'mash ne, un se Abdullah bin Marwa ne, un se Masrooq ne aur un se Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jo shakhs bhi zulm ke saath qatl kiya jaye ga is ke (gunah ka) ek hissa Adam Alaihis Salam ke pehle bete (Qabil) par bhi pade ga.“ Baaz auqat Sufyan ne is tarah bayan kiya ke ”is ke khoon ka“ kyunke usi ne sab se pehle na-haqq khoon ki buri rasm qaim ki.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3335
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني عبد الله بن مرة، عن مسروق، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تقتل نفس ظلما إلا كان على ابن آدم الاول كفل من دمها لانه اول من سن القتل".
Hum se Umar Bin Hafs Bin Ghiyath ne bayan kiya, kaha hum se hamare walid ne bayan kiya, un se Aamash ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abdullah Bin Murra ne bayan kiya, un se Masrooq ne aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jab bhi koi insan zhulm se qatl kiya jata hai to Aadam Alaihis Salam ke sab se pehle bete (Qabil) ke nama-e-amal mein bhi is qatl ka gunah likha jata hai. Kyunke qatl-e-na-haqq ki bina sab se pehle usi ne qaim ki thi."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3336
قال: قال: الليث، عن يحيى بن سعيد، عن عمرة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" الارواح جنود مجندة فما تعارف منها ائتلف وما تناكر منها اختلف"، وقال: يحيى بن ايوب، حدثني يحيى بن سعيد بهذا.
Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha ke Laith Bin Saad ne riwayat kiya Yahya Bin Said Ansari se, un se Amra ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) farma rahe thay "Rooho ke jhand ke jhand alag alag thay. Phir wahan jin roohon mein aapas mein pehchan thi un mein yahan bhi muhabbat hoti hai aur jo wahan ghair theen yahan bhi wo khilaf rehti hain." Aur Yahya Bin Ayub ne bhi is hadees ko riwayat kiya, kaha mujh se Yahya Bin Said ne bayan kiya, aakhir tak
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6867
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن عبد الله بن مرة، عن مسروق، عن عبد الله رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" لا تقتل نفس، إلا كان على ابن آدم الاول كفل منها".
Hum se Qubaysah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, in se Aamash ne, in se Abdullah bin Murrah ne, in se Masrooq ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo jaan nahaq qatl ki jaye is ke (gunah ka) ek hissa Adam alaihissalam ke pehle bete (Qabeel par) parta hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة