الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب الاقتداء بسنن رسول الله صلى الله عليه وسلم:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ki sunnaton ki pairwi karna.
Hadith Number: 7287
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن هشام بن عروة، عن فاطمة بنت المنذر، عن اسماء بنت ابي بكر رضي الله عنهما، انها قالت: اتيت عائشة حين خسفت الشمس والناس قيام وهي قائمة تصلي، فقلت ما للناس، فاشارت بيدها نحو السماء، فقالت: سبحان الله، فقلت آية، قالت براسها: ان نعم فلما انصرف رسول الله صلى الله عليه وسلم حمد الله واثنى عليه، ثم قال:" ما من شيء لم اره إلا وقد رايته في مقامي هذا حتى الجنة والنار، واوحي إلي انكم تفتنون في القبور قريبا من فتنة الدجال، فاما المؤمن او المسلم لا ادري اي ذلك، قالت اسماء: فيقول محمد: جاءنا بالبينات فاجبناه وآمنا، فيقال: نم صالحا علمنا انك موقن، واما المنافق او المرتاب لا ادري اي ذلك، قالت اسماء: فيقول: لا ادري سمعت الناس يقولون شيئا فقلته".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne bayan kiya, in se Malik ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne, in se Fatima bint Munzhir ne, in se Asma bint Abi Bakr razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main Aisha razi Allahu anha ke yahan gayi. Jab sooraj girhan hua tha aur log namaz parh rahe thay Aisha razi Allahu anha bhi khari namaz parh rahi thien. Main ne kaha logon ko kya ho gaya hai (ke be-waqt namaz parh rahe hain) to unhon ne hath se aasman ki taraf isharah kiya aur kaha: Sub-haanallaah! Main ne kaha koi nishani hai? Unhon ne sar se isharah kiya ke haan. Phir jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam namaz se farigh huay to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne Allah ki hamd o sana ke baad farmaya ”koi cheez aaisi nahi lekin main ne aaj is jagah se usay dekh liya, yahan tak ke jannat wa dozakh bhi aur mujhe wahi ki gayi hai ke tum log qabron mein bhi aazmaye jao ge, Dajjal ke fitne ke qareeb qareeb pas momin ya Muslim mujhe yaqeen nahi ke Asma razi Allahu anha ne in mein se kaun sa lafz kaha tha to woh (qabr mein farishton ke sawal par kahe ga) Muhammad salla Allahu alaihi wasallam hamare paas roshan nishan-aat le kar aaye aur hum ne in ki dawat qabool ki aur iman laaye. Is se kaha jaye ga ke aaram se so raho, hamain maloom tha ke tum momin ho aur munafiq ya shak mein mubtala mujhe yaqeen nahi ke in mein se kaun sa lafz Asma razi Allahu anha ne kaha tha, to woh kahe ga (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke mutalliq sawal par ke) mujhe maloom nahi, main ne logon ko jo kehte suna wahi main ne bhi bak diya.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 86
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا وهيب، قال: حدثنا هشام، عن فاطمة، عن اسماء، قالت:" اتيت عائشة وهي تصلي، فقلت: ما شان الناس، فاشارت إلى السماء، فإذا الناس قيام، فقالت: سبحان الله، قلت: آية، فاشارت براسها اي نعم، فقمت حتى تجلاني الغشي، فجعلت اصب على راسي الماء، فحمد الله عز وجل النبي صلى الله عليه وسلم واثنى عليه، ثم قال: ما من شيء لم اكن اريته إلا رايته في مقامي حتى الجنة والنار، فاوحي إلي انكم تفتنون في قبوركم مثل او قريبا لا ادري اي ذلك، قالت اسماء: من فتنة المسيح الدجال، يقال: ما علمك بهذا الرجل؟ فاما المؤمن او الموقن لا ادري بايهما، قالت اسماء، فيقول: هو محمد رسول الله جاءنا بالبينات والهدى فاجبنا واتبعنا هو محمد ثلاثا، فيقال: نم صالحا، قد علمنا إن كنت لموقنا به، واما المنافق او المرتاب لا ادري اي ذلك، قالت اسماء: فيقول: لا ادري، سمعت الناس يقولون شيئا فقلته".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, un se Wuhaib ne, un se Hishaam ne Fatima ke waaste se naql kiya, woh Asma se riwayat karti hain ke main Aisha Radhiallahu Anha ke paas aayi, woh Namaz padh rahi thein, main ne kaha ke logon ka kya haal hai? To unhon ne aasman ki taraf ishaara kiya (yani suraj ko gahan laga hai) itne mein log (Namaz ke liye) khade ho gaye. Aisha Radhiallahu Anha ne kaha, Allah paak hai. Main ne kaha (kya yeh gahan) koi (khaas) nishaani hai? Unhon ne sar se ishaara kiya yani haan! Phir main (bhi Namaz ke liye) khadi ho gayi. Hatta ke mujhe ghash aane laga, to main apne sar par paani daalne lagi. Phir (Namaz ke baad) Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Allah Ta’ala ki ta’reef aur us ki sifat bayan farmaayi, phir farmaaya, jo cheez mujhe pehle dikhlaayi nahi gayi thi aaj woh sab is jagah main ne dekh li, yahan tak ke jannat aur dozakh ko bhi dekh liya aur mujh par yeh Wahi ki gayi ke tum apni qabron mein aazmaaye jaaoge, «مِثْل» ya «قَرِيب» ka kaun sa lafz Asma ne farmaaya, main nahi jaanti, Fatima kehti hain (yani) fitna-e-Dajjaal ki tarah (aazmaaye jaaoge) kaha jaayega (qabr ke andar ke) tum is aadmi ke baare mein kya jaante ho? To jo sahib-e-imaan ya sahib-e-yaqeen hoga, kaun sa lafz farmaaya Asma Radhiallahu Anha ne, mujhe yaad nahi. Woh kahega woh Muhammed Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hain, jo hamaare paas Allah ki hidaayat aur daleelen le kar aaye to hum ne un ko qabool kar liya aur un ki pairwi ki woh Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam hain. Teen baar (isi tarah kahega) phir (us se) keh diya jaayega ke aaraam se so jaa be-shak hum ne jaan liya ke tu Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam par yaqeen rakhta tha. Aur beher-haal munafiq ya shakki aadmi, main nahi jaanti ke in mein se kaun sa lafz Asma Radhiallahu Anha ne kaha. To woh (munafiq ya shakki aadmi) kahega ke jo logon ko main ne kehte suna main ne (bhi) wahi keh diya. (Baaqi main kuch nahi jaanta.)
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 184
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن هشام بن عروة، عن امراته فاطمة، عن جدتها اسماء بنت ابي بكر، انها قالت: اتيت عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم حين خسفت الشمس، فإذا الناس قيام يصلون، وإذا هي قائمة تصلي، فقلت: ما للناس؟ فاشارت بيدها نحو السماء، وقالت: سبحان الله، فقلت: آية، فاشارت اي نعم، فقمت حتى تجلاني الغشي وجعلت اصب فوق راسي ماء، فلما انصرف رسول الله صلى الله عليه وسلم حمد الله واثنى عليه، ثم قال:" ما من شيء كنت لم اره إلا قد رايته في مقامي هذا حتى الجنة والنار، ولقد اوحي إلي انكم تفتنون في القبور مثل او قريبا من فتنة الدجال لا ادري اي ذلك، قالت اسماء: يؤتى احدكم، فيقال له ما علمك بهذا الرجل؟ فاما المؤمن او الموقن لا ادري اي ذلك، قالت اسماء: فيقول هو محمد رسول الله جاءنا بالبينات والهدى فاجبنا وآمنا واتبعنا، فيقال له صالحا: فقد علمنا إن كنت لمؤمنا، واما المنافق او المرتاب لا ادري اي ذلك، قالت اسماء: فيقول لا ادري سمعت الناس يقولون شيئا فقلته".
Hum se Ismail ne bayan kiya, kaha mujh se Malik ne Hishaam bin ’Urwah ke waaste se naql kiya, woh apni biwi Fatima se, woh apni dadi Asma bint-e-Abi Bakr se riwayat karti hain, woh kehti hain ke main Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki zauja-e-mohtarma Aisha Radhiallahu Anha ke paas aise waqt aayi jab ke suraj ko gahan lag raha tha aur log khade ho kar Namaz padh rahe the, kya dekhti hun woh bhi khade ho kar Namaz padh rahi hain. Main ne kaha ke logon ko kya ho gaya hai? To unhon ne apne haath se aasman ki taraf ishaara kar ke kaha, Sub-han Allah! Main ne kaha (kya yeh) koi (khaas) nishaani hai? To unhon ne ishaare se kaha ke haan. To main bhi aap ke saath Namaz ke liye khadi ho gayi. (Aap ne itna farmaaya ke) mujh par ghashi taari hone lagi aur main apne sar par paani daalne lagi. Jab Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Namaz se faarigh huwe to Aap ne Allah ki Hamd-o-Sana bayan ki aur farmaaya, aaj koi cheez aisi nahi rahi jis ko main ne apni isi jagah na dekh liya ho hatta ke jannat aur dozakh ko bhi dekh liya. Aur mujh par yeh Wahi ki gayi hai ke tum logon ko qabron mein aazmaya jaayega. Dajjaal jaisi aazmaaish ya us ke qareeb qareeb. (Rawi ka bayan hai ke) main nahi jaanti ke Asma ne kaun sa lafz kaha. Tum mein se har ek ke paas (Allah ke farishte) bheje jaayenge aur us se kaha jaayega ke tumhaara is shakhs (yani Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam) ke baare main kya khayaal hai? Phir Asma ne lafz imaandaar kaha ya yaqeen rakhne waala kaha. Mujhe yaad nahi. (Beher-haal woh shakhs) kahega ke Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke sachche Rasool hain. Woh hamaare paas nishaaniyaan aur hidaayat ki roshni le kar aaye. Hum ne (use) qabool kiya, imaan laaye, aur (Aap ka) ittebaa’ kiya. Phir (us se) keh diya jaayega tu so jaa daran-haal-yeh-ki tu mard-e-Saleh hai aur hum jaante the ke tu momin hai. Aur beher-haal munafiq ya shakki aadmi, Asma ne kaun sa lafz kaha mujhe yaad nahi. (Jab us se poocha jaayega) kahega ke main (kuch) nahi jaanta, main ne logon ko jo kehte suna, wahi main ne bhi keh diya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1373
حدثنا يحيى بن سليمان، حدثنا ابن وهب , قال: اخبرني يونس، عن ابن شهاب، اخبرني عروة بن الزبير، انه سمع اسماء بنت ابي بكر رضي الله عنهما , تقول:" قام رسول الله صلى الله عليه وسلم خطيبا، فذكر فتنة القبر التي يفتتن فيها المرء، فلما ذكر ذلك ضج المسلمون ضجة".
Hum se Yahya bin Sulayman ne byaan kiya , unhon ne kaha , hum se Abdullah bin Wahb ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Yunus ne Ibn Shihab se khabar di , unhon ne kaha mujhe Urwah bin Zubayr ne khabar di , unhon ne Asma bint Abi Bakr razi Allahu anha se suna ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam khutba ke liye kharay huay to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne qabr ke imtihan ka zikr kiya jahan insaan jaancha jata hai . Jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is ka zikr kar rahe thay to Musalmanon ki hichkiyaan bandh gayin .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة