الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب الاقتداء بسنن رسول الله صلى الله عليه وسلم:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ki sunnaton ki pairwi karna.
Hadith Number: 7276
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: سالت الاعمش، فقال: عن زيد بن وهب، سمعت حذيفة، يقول: حدثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم" ان الامانة نزلت من السماء في جذر قلوب الرجال ونزل القرآن، فقرءوا القرآن، وعلموا من السنة".
`Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaina ne bayan kiya, kaha ke mein ne A'mash se poocha to unhon ne Zaid bin Wahb se bayan kiya ke mein ne Huzaifa bin Yaman Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke amanat-dari aasman se baaz logon ke dilon ki jadon mein utri, (yaani un ki fitrat mein dakhil hai) aur Quran Majeed nazil hua to unhon ne Quran Majeed ka matlab samjha aur sunnat ka ilm hasil kiya to Quran o hadees donon se is imandari ko jo fitrati thi poori quwwat mil gayi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6497
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، حدثنا الاعمش، عن زيد بن وهب، حدثنا حذيفة، قال: حدثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم حديثين رايت احدهما وانا انتظر الآخر، حدثنا:" ان الامانة نزلت في جذر قلوب الرجال، ثم علموا من القرآن، ثم علموا من السنة، وحدثنا عن رفعها، قال: ينام الرجل النومة، فتقبض الامانة من قلبه، فيظل اثرها مثل اثر الوكت، ثم ينام النومة، فتقبض فيبقى اثرها مثل المجل كجمر دحرجته على رجلك، فنفط فتراه منتبرا وليس فيه شيء، فيصبح الناس يتبايعون فلا يكاد احد يؤدي الامانة، فيقال: إن في بني فلان رجلا امينا، ويقال للرجل: ما اعقله وما اظرفه وما اجلده وما في قلبه مثقال حبة خردل من إيمان، ولقد اتى علي زمان وما ابالي ايكم بايعت لئن كان مسلما رده علي الإسلام، وإن كان نصرانيا رده علي ساعيه، فاما اليوم فما كنت ابايع إلا فلانا وفلانا"، قال الفربري، قال ابو جعفر: حدثت ابا عبد الله، فقال: سمعت احمد بن عاصم، يقول: ابا عبيد، يقول: قال الاصمعي، وابو عمرو، وغيرهما، جذر قلوب الرجال الجذر الاصل من كل شيء الوكت اثر الشيء اليسير منه، والمجل اثر العمل في الكف إذا غلظ.
Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya , kaha hum ko Sufyan Sawri ne khabar di , kaha hum se Aamash ne bayan kiya , kaha in se Zayd bin Wahb ne , kaha hamase Huzayfah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hamase Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne do hadeesein irshad farmayiein . Ek ka zhuhoor to main dekh chuka hoon aur doosri ka muntazhir hoon . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamase farmaya ke amanat logon ke dilon ki gehraiyon mein utarti hai . Phir Quran Shareef se , phir hadees shareef se is ki mazbooti hoti jaati hai aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamase is ke uth jaane ke mutalliq irshad farmaya ke aadmi ek neend soye ga aur (isi mein) amanat is ke dil se khatm ho gi aur is be-imani ka halka nishan par jaye ga . Phir ek aur neend le ga ab is ka nishan chhaalay ki tarah ho jaye ga jaise tu paon par ek chingari lurh-kaye to zhahir mein ek chhaala phool aata hai is ko phoola dekhta hai , par andar kuch nahi hota . Phir haal yeh ho jaye ga ke subah uth kar log khareed o farokht karein ge aur koi shakhs amanat-daar nahi ho ga , kaha jaye ga ke Bani falan mein ek amanat-daar shakhs hai . Kisi shakhs ke mutalliq kaha jaye ga ke kitna aql-mand hai , kitna buland-hausla hai aur kitna bahadur hai . Haalan-ke is ke dil mein raayi barabar bhi iman (amanat) nahi ho ga .“ (Huzayfah razi Allahu anhu kehte hain) main ne ek aisa waqt bhi guzara hai ke main is ki parwa nahi karta tha ke kis se khareed o farokht karta hoon . Agar woh Musalman hota to is ko Islam (be-imani se) rokta tha . Agar woh Nasrani hota to is ka madadgar usay rokta tha lekin ab main falan aur falan ke siwa kisi se khareed o farokht hi nahi karta .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7086
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، حدثنا الاعمش، عن زيد بن وهب، حدثنا حذيفة، قال: حدثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم حديثين، رايت احدهما وانا انتظر الآخر، حدثنا:" ان الامانة نزلت في جذر قلوب الرجال، ثم علموا من القرآن، ثم علموا من السنة، وحدثنا عن رفعها، قال: ينام الرجل النومة فتقبض الامانة من قلبه، فيظل اثرها مثل اثر الوكت، ثم ينام النومة، فتقبض، فيبقى فيها اثرها مثل اثر المجل كجمر دحرجته على رجلك، فنفط، فتراه منتبرا وليس فيه شيء، ويصبح الناس يتبايعون فلا يكاد احد يؤدي الامانة، فيقال: إن في بني فلان رجلا امينا، ويقال للرجل: ما اعقله، وما اظرفه، وما اجلده، وما في قلبه مثقال حبة خردل من إيمان، ولقد اتى علي زمان ولا ابالي ايكم بايعت، لئن كان مسلما رده علي الإسلام، وإن كان نصرانيا رده علي ساعيه، واما اليوم فما كنت ابايع إلا فلانا وفلانا".
`Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan ne khabar di, kaha hum se A'mash ne bayan kiya, un se Zaid bin Wa'hb ne bayan kiya, un se Huzaifa ne bayan kiya kaha hum se Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne do ahadees farmayi theen jin mein se ek to mein ne dekh li doosri ka intezar hai. Hum se Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya tha ke amanat logon ke dilon ki jadon mein nazil hui thi phir logon ne ise Quran se seekha, phir sunnat se seekha aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne hum se amanat ke uth jaane ke mutalliq farmaya tha ke ek shakhs ek neend soye ga aur amanat is ke dil se nikal di jaye gi aur is ka nishan ek dhabbe jitna baqi reh jaye ga, phir wo ek neend soye ga aur phir amanat nikali jaye gi to is ke dil mein aable ki tarah is ka nishan baqi reh jaye ga, jaise tum ne koi chingari apne paon par gira li ho aur is ki wajah se aabla pad jaye, tum is mein sujan dekho ge lekin andar kuch nahi ho ga aur log khareed o farokht karein ge lekin koi amanat ada karne wala nahi ho ga. Phir kaha jaye ga ke falan qabile mein ek amanat-dar aadmi hai aur kisi ke mutalliq kaha jaye ga ke wo kis qadar aqlmand, kitna khush-taba', kitna dilawar aadmi hai halanke is ke dil mein rai ke daane ke barabar bhi iman na ho ga aur mujh par ek zamana guzar gaya aur mein is ki parwa nahi karta tha ke tum mein se kis ke saath mein lein dein karta hoon agar wo musalman hota to is ka Islam ise mere haqq ke ada karne par majboor karta aur agar wo Nasrani hota to is ke hakim log is ko dabate imandari par majboor karte. Lekin aaj kal to mein sirf falan falan logon se hi lein dein karta hoon.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة