الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
( باب: )
...
Hadith Number: 7272
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن عبد الله بن دينار،" ان عبد الله بن عمر كتب إلى عبد الملك بن مروان يبايعه: واقر لك بذلك بالسمع والطاعة على سنة الله وسنة رسوله فيما استطعت".
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Abdullah bin Dinar ne ke Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne Abdul Malik bin Marwan ko khat likha ke wo is ki bai'at qabool karte hain aur yeh likha ke mein tera hukm sunoon ga aur manoon ga ba-shart-e-ke Allah ki shariat aur is ke Rasul ki sunnat ke muwafiq ho jahan tak mujh se mumkin ho ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7203
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن سفيان، حدثنا عبد الله بن دينار، قال: شهدت ابن عمر حيث اجتمع الناس على عبد الملك، قال:" كتب اني اقر بالسمع والطاعة لعبد الله عبد الملك امير المؤمنين على سنة الله وسنة رسوله ما استطعت، وإن بني قد اقروا بمثل ذلك".
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, un se Sufyan ne, un se Abdullah bin Dinar ne bayan kiya kaha ke mein is waqt Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ke paas maujood tha jab sab log Abdul Malik bin Marwan se bai'at ke liye jama ho gaye. Bayan kiya ke unhon ne Abdul Malik ko likha ke ”Mein sunne aur ita'at karne ka iqrar karta hoon Abdullah Abdul Malik Ameerul Momineen ke liye Allah ke deen aur is ke Rasul ki sunnat ke mutabiq jitni bhi mujh mein quwwat ho gi aur yeh ke mere larke bhi is ka iqrar karte hain.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة