الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الِاعْتِصَامِ بِالْكِتَابِ وَالسُّنَّةِ
The Book of Holding Fast To The Qur’An and The Sunna
(بَابٌ:)
(Chapter.)
Show diacritics
Hadith Number: 7268
حدثنا الحميدي حدثنا سفيان عن مسعر وغيره عن قيس بن مسلم عن طارق بن شهاب قال: قال رجل من اليهود لعمر يا امير المؤمنين لو ان علينا نزلت هذه الآية: {اليوم اكملت لكم دينكم واتممت عليكم نعمتي ورضيت لكم الإسلام دينا} لاتخذنا ذلك اليوم عيدا. فقال عمر إني لاعلم اي يوم نزلت هذه الآية، نزلت يوم عرفة في يوم جمعة. سمع سفيان من مسعر ومسعر قيسا وقيس طارقا.
`Hum se Abdullah bin Zubair Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaina ne bayan kiya, un se Mis'ar bin Kidam aur un ke ilawa (Sufyan Sauri) ne, un se Qais bin Muslim ne, un se Tariq bin Shihab ne bayan kiya ke ek Yahudi (Ka'b Ahbar Islam lane se pehle) ne Umar Radi Allahu Anhu se kaha: ay Ameerul Momineen! agar hamare yahan Surah al-Ma'idah ki yeh ayat nazil hoti «al-Yauma akmaltu lakum deenakum wa atmamtu alaikum ni'mati wa razeetu lakumul Islama deenan» ke ”Aaj mein ne tumhare liye tumhare deen ko mukammal kar diya aur tum par apni ni'mat ko poora kar diya aur tumhare liye Islam ko ba-taur deen ke pasand kar liya.“ to hum is din ko eid (khushi) ka din bana lete. Umar Radi Allahu Anhu ne kaha ke mein jaanta hoon ke yeh ayat kis din nazil hui thi, Arafa ke din nazil hui aur Jumua ka din tha. Imam Bukhari ne kaha yeh riwayat Sufyan ne Mis'ar se suni, Mis'ar ne Qais se suna aur Qais ne Tariq se.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7269
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني انس بن مالك، انه سمع عمر الغد حين بايع المسلمون ابا بكر واستوى على منبر رسول الله صلى الله عليه وسلم تشهد قبل ابي بكر، فقال:" اما بعد، فاختار الله لرسوله صلى الله عليه وسلم الذي عنده على الذي عندكم وهذا الكتاب الذي هدى الله به رسولكم، فخذوا به تهتدوا وإنما هدى الله به رسوله".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel bin Khalid ne, un se Ibn Shihab ne aur unhein Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne khabar di ke unhon ne Umar Radi Allahu Anhu se wo khutba suna jo unhon ne wafat-e-nabwi ke doosre din parha tha, jis din musalmanon ne Abu Bakr Radi Allahu Anhu se bai'at ki thi. Umar Radi Allahu Anhu Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke mimbar par chadhe aur Abu Bakr Radi Allahu Anhu se pehle khutba parha phir kaha: Amma ba'du! Allah Ta'ala ne apne Rasul ke liye wo cheez (Aakhirat) pasand ki jo us ke paas thi is ke bajaye jo tumhare paas thi yaani duniya aur yeh Kitab Allah maujood hai jis ke zariya Allah Ta'ala ne tumhare Rasul ko deen o seedha rasta batlaya pas ise tum thaame raho to hidayat-yab raho ge. Yaani is raste par raho ge jo Allah ne apne paigambar ko batlaya tha.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7270
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، عن خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال:" ضمني إليه النبي صلى الله عليه وسلم، وقال: اللهم علمه الكتاب".
`Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne bayan kiya, un se Khalid Hazza ne, un se Ikrima ne, un se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne mujhe apne seene se lagaya aur farmaya ”Ae Allah! ise Quran ka ilm sikha.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7271
حدثنا عبد الله بن صباح، حدثنا معتمر، قال: سمعت عوفا، ان ابا المنهال حدثه، انه سمع ابا برزة، قال:" إن الله يغنيكم او نغشكم بالإسلام وبمحمد صلى الله عليه وسلم"، قال ابو عبد الله: وقع هاهنا يغنيكم، وإنما هو نعشكم، ينظر في اصل كتاب الاعتصام.
`Hum se Abdullah bin Sabah ne bayan kiya, kaha hum se Mu'tamir bin Sulaiman ne bayan kiya, kaha ke mein ne Auf Aarabi se suna ‘ un se Abul Minhal ne bayan kiya, unhon ne Abu Barza Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne kaha ke Allah Ta'ala ne tumhein Islam aur Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ke zariya gani kar diya hai ya buland darja kar diya hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7272
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن عبد الله بن دينار،" ان عبد الله بن عمر كتب إلى عبد الملك بن مروان يبايعه: واقر لك بذلك بالسمع والطاعة على سنة الله وسنة رسوله فيما استطعت".
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Abdullah bin Dinar ne ke Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne Abdul Malik bin Marwan ko khat likha ke wo is ki bai'at qabool karte hain aur yeh likha ke mein tera hukm sunoon ga aur manoon ga ba-shart-e-ke Allah ki shariat aur is ke Rasul ki sunnat ke muwafiq ho jahan tak mujh se mumkin ho ga.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain