الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
( باب: )
...
Show diacritics
Hadith Number: 7268
حدثنا الحميدي حدثنا سفيان عن مسعر وغيره عن قيس بن مسلم عن طارق بن شهاب قال: قال رجل من اليهود لعمر يا امير المؤمنين لو ان علينا نزلت هذه الآية: {اليوم اكملت لكم دينكم واتممت عليكم نعمتي ورضيت لكم الإسلام دينا} لاتخذنا ذلك اليوم عيدا. فقال عمر إني لاعلم اي يوم نزلت هذه الآية، نزلت يوم عرفة في يوم جمعة. سمع سفيان من مسعر ومسعر قيسا وقيس طارقا.
`Hum se Abdullah bin Zubair Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaina ne bayan kiya, un se Mis'ar bin Kidam aur un ke ilawa (Sufyan Sauri) ne, un se Qais bin Muslim ne, un se Tariq bin Shihab ne bayan kiya ke ek Yahudi (Ka'b Ahbar Islam lane se pehle) ne Umar Radi Allahu Anhu se kaha: ay Ameerul Momineen! agar hamare yahan Surah al-Ma'idah ki yeh ayat nazil hoti «al-Yauma akmaltu lakum deenakum wa atmamtu alaikum ni'mati wa razeetu lakumul Islama deenan» ke ”Aaj mein ne tumhare liye tumhare deen ko mukammal kar diya aur tum par apni ni'mat ko poora kar diya aur tumhare liye Islam ko ba-taur deen ke pasand kar liya.“ to hum is din ko eid (khushi) ka din bana lete. Umar Radi Allahu Anhu ne kaha ke mein jaanta hoon ke yeh ayat kis din nazil hui thi, Arafa ke din nazil hui aur Jumua ka din tha. Imam Bukhari ne kaha yeh riwayat Sufyan ne Mis'ar se suni, Mis'ar ne Qais se suna aur Qais ne Tariq se.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة