الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الفتن
Kitab: Fitnon ke bayan mein
باب يأجوج ومأجوج:
Ya'jooj o Ma'jooj ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 7136
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"يفتح الردم، ردم ياجوج وماجوج مثل هذه" وعقد وهيب تسعين.
`Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne bayan kiya, un se Abdullah bin Taus ne bayan kiya, un se un ke walid ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ” «Sadd» yaani Yajuj Majuj ki deewar itni khul gayi hai.“ Wuhaib ne nabbay ka ishaara kar ke batlaya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3347
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" فتح الله من ردم ياجوج وماجوج مثل هذا وعقد بيده تسعين".
Humey Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne, un se Ibn Taoos ne, un se un ke walid Taoos ne, un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Allah Paak ne Yaajooj Maajooj ki deewar se itna khool diya hai", phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apni ungliyon se nawway ka adad bana kar batlaya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5293
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا ابو عامر عبد الملك بن عمرو، حدثنا إبراهيم، عن خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال:" طاف رسول الله صلى الله عليه وسلم على بعيره، وكان كلما اتى على الركن اشار إليه وكبر، وقالت زينب: قال النبي صلى الله عليه وسلم: فتح من ردم ياجوج وماجوج مثل هذه وعقد تسعين".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya , kaha hum se Abu Aamir Abdul Malik bin Amr ne byaan kiya , kaha hum se Ibrahim bin Tahman ne byaan kiya , in se Khalid Hazza ne , in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Bayt-ullah ka tawaf apne oont par sawar ho kar kiya aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab bhi rukn ke paas aate to is ki taraf isharah kar ke takbeer kehte aur Zaynub bint Jahsh razi Allahu anha ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Yajooj Majooj ke diwar mein itna surakh ho gaya hai aur Aap ne apni ungliyon se nawway ka adad banaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة