الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الفتن
Kitab: Fitnon ke bayan mein
باب:
...
Hadith Number: 7101
حدثنا ابو نعيم، حدثنا ابن ابي غنية، عن الحكم، عن ابي وائل، قام عمار على منبر الكوفة، فذكر عائشة وذكر مسيرها، وقال:"إنها زوجة نبيكم صلى الله عليه وسلم في الدنيا والآخرة ولكنها مما ابتليتم".
`Hum se Abu Nu'aim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Abi Ganiyya ne bayan kiya, un se Hakam ne bayan kiya aur un se Abu Wa'il ne bayan kiya ke Kufa mein Ammar Radi Allahu Anhu mimbar par khade hue aur Aisha Radi Allahu Anha aur in ki rawangi ka zikr kiya aur kaha ke bilashuba wo duniya o aakhirat mein tumhare Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki zauja hain lekin tum in ke baare mein aazmaye gaye ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3772
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن الحكم , سمعت ابا وائل، قال: لما بعث علي عمارا والحسن إلى الكوفة ليستنفرهم خطب عمار، فقال:" إني لاعلم انها زوجته في الدنيا والآخرة ولكن الله ابتلاكم لتتبعوه او إياها".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne bayan kiya, un se Shuba ne bayan kiya, un se Hakam ne aur unhon ne Abu Wail se suna, unhon ne bayan kiya ke jab Ali Radi Allahu Anhu ne Ammar aur Hasan Radi Allahu Anhuma ko Kufa bheja tha taake logon ko apni madad ke liye tayyar karein to Ammar Radi Allahu Anhu ne un se khitab karte hue farmaya tha: Mujhe bhi khoob maloom hai ke Aisha Radi Allahu Anha Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaujah hain is duniya mein bhi aur akhirat mein bhi, lekin Allah Ta'ala tumhein azmana chahta hai ke dekhe tum Ali Radi Allahu Anhu ki ittaba karte ho (jo barhaqq khalifa hain) ya Aisha Radi Allahu Anha ki
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة