الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الفتن
Kitab: Fitnon ke bayan mein
باب قول النبى صلى الله عليه وسلم: سترون بعدي أمورا تنكرونها :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka farmana "mere baad tum baaz kaam dekho ge jo tum ko bure lagen ge".
Show diacritics
Hadith Number: 7056
فقال فيما اخذ علينا: ان بايعنا على السمع والطاعة في منشطنا ومكرهنا، وعسرنا ويسرنا، واثرة علينا، وان لا ننازع الامر اهله إلا ان تروا كفرا بواحا عندكم من الله فيه برهان".
`Unhon (Ubada bin Samit) ne bayan kiya ke jin baaton ka Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne hum se ahd liya tha in mein yeh bhi tha ke khushi o nagawari, tangi aur kushadagi aur apni haqq-talfi mein bhi ita'at o farman-bardari karein aur yeh bhi ke hukmranon ke saath hukumat ke baare mein is waqt tak jhagda na karein jab tak un ko a'laniya kufr karte na dekh lein. Agar wo a'laniya kufr karein to tum ko Allah ke paas se daleel mil jaye gi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7199
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن يحيى بن سعيد، قال: اخبرني عبادة بن الوليد، اخبرني ابي، عن عبادة بن الصامت، قال:" بايعنا رسول الله صلى الله عليه وسلم على السمع والطاعة في المنشط والمكره.
`Hum se Ismail ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Yahya bin Said ne, unhon ne kaha ke mujh ko Ubada bin al-Waleed ne khabar di, unhein un ke walid ne khabar di, un se Ubada bin Samit Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se Aap ki sunne aur ita'at karne ki bai'at ki, khushi aur na-khushi donon halatoon mein.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7200
وان لا ننازع الامر اهله، وان نقوم او نقول بالحق حيثما كنا، لا نخاف في الله لومة لائم".
Aur is shart par ke jo shakhs sardari ke layiq ho ga (maslan Quraish mein se ho aur shara par qaim ho) is ki sardari qabool kar lein ge is se jhagda na karein aur yeh ke hum haqq ko le kar khade hon ge ya haqq baat kahein ge jahan bhi hon aur Allah ke raste mein malamat karne wale ki malamat ki parwah na karein ge.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة