الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْفِتَنِ
The Book of Al-Fitan
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «سَتَرَوْنَ بَعْدِي أُمُورًا تُنْكِرُونَهَا» :
Chapter. The statement of Prophet:“After me you will see things which you will disapprove of."
Show diacritics
Hadith Number: Q7052
وقال عبد الله بن زيد قال النبي صلى الله عليه وسلم اصبروا حتى تلقوني على الحوض
Aur Abdullah bin Zaid bin Aamir ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne (Ansar se) yeh bhi farmaya ke tum in kaamon par sabr karna yahan tak ke tum Hauz-e-Kausar par aa kar mujh se milo.


Show diacritics
Hadith Number: 7052
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى بن سعيد القطان، حدثنا الاعمش، حدثنا زيد بن وهب، سمعت عبد الله، قال: قال لنا رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إنكم سترون بعدي اثرة وامورا تنكرونها، قالوا: فما تامرنا يا رسول الله؟، قال: ادوا إليهم حقهم وسلوا الله حقكم".
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Said ne bayan kiya, kaha hum se A'mash ne bayan kiya, un se Zaid bin Wa'hb ne bayan kiya, unhon ne Abdullah Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne hum se farmaya ”Tum mere baad baaz kaam aise dekho ge jo tum ko bure lagein ge.“ Sahabah ne arz kiya: ya Rasul Allah! Aap is silsile mein kya hukm farmate hain? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Unhein in ka haqq ada karo aur apna haqq Allah se maango.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7053
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الوارث، عن الجعد، عن ابي رجاء، عن ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من كره من اميره شيئا فليصبر، فإنه من خرج من السلطان شبرا مات ميتة جاهلية".
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, un se Abdul Waris bin Said ne bayan kiya, un se Ja'd Sayrafi ne, un se Abu Raja Atardi ne aur un se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jo shakhs apne ameer mein koi napasand baat dekhe to sabr kare (khalifa) ki ita'at se agar koi balisht bhar bhi bahar nikla to is ki maut jahiliyat ki maut ho gi.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7054
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن الجعد ابي عثمان، حدثني ابو رجاء العطاردي، قال: سمعت ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من راى من اميره شيئا يكرهه فليصبر عليه، فإنه من فارق الجماعة شبرا فمات إلا مات ميتة جاهلية".
`Hum se Abu Nu'man ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hammad bin Zaid ne bayan kiya, un se Ja'd Abi Usman ne bayan kiya, un se Abu Raja al-Atardi ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mein ne Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se suna, un se Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jis ne apne ameer ki koi napasand cheez dekhi to ise chahe ke sabr kare is liye ke jis ne jama'at se ek balisht bhar judayi ikhtiyar ki aur isi haal mein mara to wo jahiliyat ki si maut mare ga.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7055
حدثنا إسماعيل، حدثني ابن وهب، عن عمرو، عن بكير، عن بسر بن سعيد، عن جنادة بن ابي امية، قال:" دخلنا على عبادة بن الصامت وهو مريض، قلنا: اصلحك الله، حدث بحديث ينفعك الله به سمعته من النبي صلى الله عليه وسلم، قال: دعانا النبي صلى الله عليه وسلم، فبايعناه.
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha mujh se Abdullah bin Wahb ne bayan kiya, un se Amr bin Haris ne, un se Bukair bin Abdullah ne, un se Busr bin Said ne, un se Junada bin Abi Umayya ne bayan kiya ke hum Ubada bin Samit Radi Allahu Anhu ki khidmat mein pahunche wo mareez thay aur hum ne arz kiya: Allah Ta'ala Aap ko sehat ata farmaye. Koi hadees bayan kijiye jis ka nafa Aap ko Allah Ta'ala pahunchaye. Unhon ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se Lailat-ul-Aqaba mein suna hai ke Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne humein bulaya aur hum ne Aap se bai'at ki.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7056
فقال فيما اخذ علينا: ان بايعنا على السمع والطاعة في منشطنا ومكرهنا، وعسرنا ويسرنا، واثرة علينا، وان لا ننازع الامر اهله إلا ان تروا كفرا بواحا عندكم من الله فيه برهان".
`Unhon (Ubada bin Samit) ne bayan kiya ke jin baaton ka Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne hum se ahd liya tha in mein yeh bhi tha ke khushi o nagawari, tangi aur kushadagi aur apni haqq-talfi mein bhi ita'at o farman-bardari karein aur yeh bhi ke hukmranon ke saath hukumat ke baare mein is waqt tak jhagda na karein jab tak un ko a'laniya kufr karte na dekh lein. Agar wo a'laniya kufr karein to tum ko Allah ke paas se daleel mil jaye gi.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7057
حدثنا محمد بن عرعرة، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس بن مالك، عن اسيد بن حضير،" ان رجلا اتى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، استعملت فلانا ولم تستعملني؟، قال: إنكم سترون بعدي اثرة فاصبروا حتى تلقوني".
`Hum se Muhammad bin Ar'ara ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, un se Qatada ne, un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne aur un se Usaid bin Huzair Radi Allahu Anhu ne, ek sahab (khud Usaid) Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya: ya Rasul Allah! Aap ne falan Amr bin al-Aas ko hakim bana diya aur mujhe nahi banaya. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke tum log Ansari mere baad apni haqq-talfi dekho ge to qayamat tak sabr karna yahan tak ke tum mujh se aa milo.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain