الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحيل
Kitab: Sharai hilon ke bayan mein
باب فى الزكاة وأن لا يفرق بين مجتمع، ولا يجمع بين متفرق، خشية الصدقة:
Zakat mein hila karne ka bayaan. (Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya) zakat ke dar se jo maal ikattha ho usay juda juda na karen aur jo juda juda ho usay ikattha na karen.
Hadith Number: 6957
حدثني إسحاق، حدثنا عبد الرزاق، حدثنا معمر، عن همام، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يكون كنز احدكم يوم القيامة شجاعا اقرع يفر منه صاحبه فيطلبه، ويقول انا كنزك، قال والله لن يزال يطلبه حتى يبسط يده فيلقمها فاه.
Mujh se Ishaq ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Razzaq ne bayan kiya , kaha hum se Mamar ne bayan kiya , in se Humam ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Qayamat ke din tum mein se kisi ka khazana chit-kabara azhdaha ban kar aaye ga is ka maalik is se bhaage ga lekin woh usay talash kar raha ho ga aur kahe ga ke main tumhara khazana hoon . Farmaya wallah woh musalsal talash karta rahe ga yahan tak ke woh shakhs apna hath phaila de ga aur azhdaha usay luqma banaye ga .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1403
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا هاشم بن القاسم، حدثنا عبد الرحمن بن عبد الله بن دينار، عن ابيه، عن ابي صالح السمان، عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من آتاه الله مالا فلم يؤد زكاته، مثل له ماله يوم القيامة شجاعا اقرع له زبيبتان يطوقه يوم القيامة، ثم ياخذ بلهزمتيه يعني شدقيه، ثم يقول انا مالك انا كنزك، ثم تلا: ولا يحسبن الذين يبخلون سورة آل عمران آية 180".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Hashim bin Qasim ne byaan kiya ke hum se Abdul Rahman bin Abdullah bin Dinar ne apne walid se byaan kiya ‘ un se Abu Salih Samman ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jisay Allah ne maal diya aur us ne is ki zakat nahi ada ki to Qayamat ke din us ka maal nihayat zehrile ganje saanp ki shakal ikhtiyar kar le ga . Is ki aankhon ke paas do siyah nuqte honge . Jaise saanp ke hote hain ‘ phir woh saanp us ke dono jabron se isay pakar le ga aur kahe ga ke main tera maal aur khazana hoon . Is ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh aayat parhi ”aur woh log yeh gumaan na karein ke Allah Ta'ala ne unhein jo kuch apne fazl se diya hai woh is par bukhl se kaam lete hain ke un ka maal un ke liye behtar hai . Balke woh bura hai jis maal ke maamle mein unhon ne bukhl kiya hai . Qayamat mein is ka tauq bana kar un ki gardan mein dala jaye ga .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة