الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الإكراه
Kitab: Zabardasti kaam karane ke bayan mein
باب يمين الرجل لصاحبه إنه أخوه، إذا خاف عليه القتل أو نحوه:
Agar koi shakhs dusre Musalman ko apna bhai kahe.
Hadith Number: 6951
حدثنا يحيى بن بكير حدثنا الليث عن عقيل عن ابن شهاب ان سالما اخبره ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما اخبره ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: «المسلم اخو المسلم، لا يظلمه، ولا يسلمه، ومن كان في حاجة اخيه، كان الله في حاجته» .
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, unhein Salim ne khabar di aur unhein Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne khabar di ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Musalman musalman ka bhai hai na us par zulm kare aur na ise (kisi zalim ke) supard kare aur jo shakhs apne kisi bhai ki zaroorat poori karne mein laga ho ga Allah Ta'ala is ki zaroorat aur haajat poori kare ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2242
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن ابن ابي المجالد، وحدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن شعبة، عن محمد بن ابي المجالد، حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، قال: اخبرني محمد او عبد الله بن ابي المجالد، قال: اختلف عبد الله بن شداد بن الهاد، وابو بردة في السلف، فبعثوني إلى ابن ابي اوفى رضي الله عنه، فسالته، فقال:" إنا كنا نسلف على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، وابي بكر، وعمر في الحنطة، والشعير، والزبيب، والتمر"، وسالت ابن ابزى، فقال: مثل ذلك.
Hum se Abul Waleed ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, un se Ibn Abi Mujalid ne (teesri sanad) aur hum se Yahya ne bayan kiya, un se Waki ne bayan kiya, un se Shuba ne, un se Muhammad Bin Abi Mujalid ne. (doosri sanad) hum se Hafs Bin Umar ne bayan kiya, un se Shuba ne bayan kiya, kaha ke mujhe Muhammad aur Abdullah Bin Abi Mujalid ne khabar di, unhon ne bayan kiya ke Abdullah Bin Shaddad Bin Al-Haad aur Abu Burdah mein bai-salam ke mutalliq baham ikhtilaf hua. To in hazrat ne mujhe Ibn Abi Aufa (Radi Allahu Anhu) ki khidmat mein bheja. Chunanche mein ne un se poocha to unhon ne kaha ke hum Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam), Abu Bakr aur Umar (Radi Allahu Anhuma) ke zamanon mein gehoon, jau, munaqqa aur khajoor ki bai-salam karte thay. Phir mein ne Ibn Abza (Radi Allahu Anhu) se poocha to unhon ne bhi yahi jawab diya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2442
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، ان سالما اخبره، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما اخبره، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" المسلم اخو المسلم لا يظلمه ولا يسلمه، ومن كان في حاجة اخيه كان الله في حاجته، ومن فرج عن مسلم كربة فرج الله عنه كربة من كربات يوم القيامة، ومن ستر مسلما ستره الله يوم القيامة".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, unhein Salim ne khabar di, aur unhein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne farmaya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ek Musalman doosre Musalman ka bhai hai, pas us par zulm na kare aur na zulm hone day. Jo shakhs apne bhai ki zaroorat poori kare, Allah Ta'ala is ki zaroorat poori karega. Jo shakhs kisi Musalman ki ek musibat ko door kare, Allah Ta'ala is ki Qiyamat ki musibaton mein se ek badi musibat ko door farmaye ga. Aur jo shakhs kisi Musalman ke aib ko chhupaye Allah Ta'ala Qiyamat mein is ke aib chhupaye ga
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة