الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب استتابة المرتدين
Kitab: Baghiyon aur murtadon se tauba karane ka bayan
باب ما جاء فى المتأولين:
Taweel karne walon ke baare mein bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 6936
قال ابو عبد الله، وقال الليث، حدثني يونس، عن ابن شهاب، اخبرني عروة بن الزبير، ان المسور بن مخرمة، وعبد الرحمن بن عبد القاري، اخبراه انهما سمعا عمر بن الخطاب، يقول: سمعت هشام بن حكيم يقرا سورة الفرقان في حياة رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاستمعت لقراءته، فإذا هو يقرؤها على حروف كثيرة لم يقرئنيها رسول الله صلى الله عليه وسلم كذلك، فكدت اساوره في الصلاة، فانتظرته حتى سلم، ثم لببته بردائه او بردائي، فقلت: من اقراك هذه السورة، قال: اقرانيها رسول الله صلى الله عليه وسلم، قلت له: كذبت فوالله إن رسول الله صلى الله عليه وسلم اقراني هذه السورة التي سمعتك تقرؤها، فانطلقت اقوده إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت يا رسول الله: إني سمعت هذا يقرا بسورة الفرقان على حروف لم تقرئنيها وانت اقراتني سورة الفرقان، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: ارسله يا عمر، اقرا يا هشام، فقرا عليه القراءة التي سمعته يقرؤها، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: هكذا انزلت، ثم قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اقرا يا عمر، فقرات، فقال: هكذا انزلت، ثم قال: إن هذا القرآن انزل على سبعة احرف فاقرءوا ما تيسر منه.
`Aur Abu Abdullah Imam Bukhari Rahimahullah ne bayan kiya, un se Laith bin Saad ne bayan kiya unhon ne kaha ke mujh se Yunus ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh ko Urwa bin Zubair ne khabar di, unhein Miswar bin Makhrama aur Abdur Rahman bin Abdul Qari ne khabar di, in donon ne Umar bin al-Khattab Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke mein ne Hisham bin Hakeem ko Nabi Akram صلی اللہ علیہ وسلم ki zindagi mein Surah al-Furqan parhte suna jab gaur se suna to wo bahut si aisi qira'aton ke saath parh rahe thay jin se Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne mujhe nahi parhaya tha. Qareeb tha ke namaz hi mein, mein un par hamla kar deta lekin mein ne intezar kiya aur jab unhon ne salam phera to un ki chadar se ya (unhon ne yeh kaha ke) apni chadar se mein ne un ki gardan mein phanda daal diya aur un se poocha ke is tarah tumhein kis ne parhaya hai? Unhon ne kaha ke mujhe is tarah Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne parhaya hai. Mein ne un se kaha ke jhoot bolte ho, wallah yeh surat mujhe bhi Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne parhayi hai jo mein ne tumhein abhi parhte suna hai. Chunancha mein unhein kheenchta hua Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke paas laya aur arz kiya: ya Rasul Allah! mein ne ise Surah al-Furqan aur tarah par parhte suna hai jis tarah Aap ne mujhe nahi parhayi thi. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne mujhe bhi Surah al-Furqan parhayi hai. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Umar! unhein chhod do. Hisham surat parho. Unhon ne usi tarah parh kar sunaya jis tarah mein ne unhein parhte suna tha. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne is par farmaya ke isi tarah nazil hui thi phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Umar! ab tum parho. Mein ne parha to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke isi tarah nazil hui thi phir farmaya yeh Quran saat qira'aton mein nazil hua hai pas tumhein jis tarah aasani ho parho.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2419
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عروة بن الزبير، عن عبد الرحمن بن عبد القاري، انه قال: سمعت عمر بن الخطاب رضي الله عنه، يقول:" سمعت هشام بن حكيم بن حزام يقرا سورة الفرقان على غير ما اقرؤها، وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم اقرانيها، وكدت ان اعجل عليه، ثم امهلته حتى انصرف، ثم لببته بردائه، فجئت به رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: إني سمعت هذا يقرا على غير ما اقراتنيها، فقال لي: ارسله، ثم قال له: اقرا، فقرا، قال: هكذا انزلت، ثم قال لي: اقرا، فقرات، فقال: هكذا انزلت، إن القرآن انزل على سبعة احرف، فاقرءوا منه ما تيسر".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, unhein Urwah Bin Zubair (Radi Allahu Anhu) ne, unhein Abdur Rahman Bin Abdul Qaari ne ke unhon ne Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) se suna ke wo bayan karte thay ke mein ne Hisham Bin Hakim Bin Hizam (Radi Allahu Anhu) ko Surah Al-Furqan ek dafa is qirat se parhte suna jo is ke khilaf thi jo mein parhta tha. Halankay meri qirat khud Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujhe sikhayi thi. Qareeb tha ke mein furan hi un par kuch kar baithoon, lekin mein ne unhein muhlat di ke wo (namaz se) farigh ho lein. Is ke baad mein ne un ke gale mein chadar daal kar in ko ghaseeta aur Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir kiya. Mein ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se kaha ke mein ne unhein is qirat ke khilaf parhte suna hai jo Aap ne mujhe sikhayi hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujh se farmaya ke pehle unhein chhor day. Phir in se farmaya ke accha ab tum qirat sunao. Unhon ne wahi apni qirat sunayi. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke isi tarah nazil hui thi. Is ke baad mujh se Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ab tum bhi parho, mein ne bhi parh kar sunaya. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is par farmaya ke isi tarah nazil hui. Quran saat qiraton mein nazil hua hai. Tum ko jis mein aasani ho isi tarah se parh liya karo
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3609
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن همام، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تقوم الساعة حتى يقتتل فئتان فيكون بينهما مقتلة عظيمة دعواهما واحدة، ولا تقوم الساعة حتى يبعث دجالون كذابون قريبا من ثلاثين كلهم يزعم انه رسول الله".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musnadi ne bayan kiya, kaha hum se Abdur Razzaq ne bayan kiya, kaha hum ko Ma'mar ne khabar di, unhein Hammam ne aur unhein Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qiyamat is waqt tak qaim na hogi jab tak do jama'atein aapas mein jang na kar lein. Dono mein badi bhari jang hogi. Halankay dono ka dawa ek hi hoga aur Qiyamat is waqt tak qaim na hogi jab tak taqreeban tees jhoote Dajjal paida na ho lein. In mein har ek ka yahi guman hoga ke woh Allah ka Nabi hai."


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7121
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن عبد الرحمن، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:"لا تقوم الساعة حتى تقتتل فئتان عظيمتان يكون بينهما مقتلة عظيمة، دعوتهما واحدة، وحتى يبعث دجالون كذابون قريب من ثلاثين، كلهم يزعم انه رسول الله، وحتى يقبض العلم، وتكثر الزلازل، ويتقارب الزمان، وتظهر الفتن، ويكثر الهرج: وهو القتل، وحتى يكثر فيكم المال فيفيض حتى يهم رب المال من يقبل صدقته وحتى يعرضه عليه، فيقول الذي يعرضه عليه: لا ارب لي به، وحتى يتطاول الناس في البنيان، وحتى يمر الرجل بقبر الرجل، فيقول: يا ليتني مكانه، وحتى تطلع الشمس من مغربها، فإذا طلعت ورآها الناس، يعني آمنوا اجمعون، فذلك حين لا ينفع نفسا إيمانها لم تكن آمنت من قبل او كسبت في إيمانها خيرا، ولتقومن الساعة وقد نشر الرجلان ثوبهما بينهما، فلا يتبايعانه، ولا يطويانه، ولتقومن الساعة وقد انصرف الرجل بلبن لقحته فلا يطعمه، ولتقومن الساعة وهو يليط حوضه فلا يسقي فيه، ولتقومن الساعة وقد رفع اكلته إلى فيه فلا يطعمها".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, kaha hum se Abuz Zinad ne bayan kiya, un se Abdur Rahman ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Qayamat is waqt tak qaim na ho gi jab tak do azeem jama'atein jang na karein gi. In donon jama'aton ke darmiyan badi khoon-rezi ho gi. Halanke donon ka dawa ek hi ho ga aur yahan tak ke bahut se jhoote Dajjal bheje jayein ge. Taqreeban tees Dajjal. In mein se har ek dawa kare ga ke wo Allah ka Rasul hai aur yahan tak ke ilm utha liya jaye ga aur zalzalon ki kasrat ho gi aur zamana qareeb ho jaye ga aur fitne zahir ho jayein ge aur haraj barh jaye ga aur haraj se murad qatl hai aur yahan tak ke tumhare paas maal ki kasrat ho jaye gi balki beh pade ga aur yahan tak ke sahab-e-maal ko is ka fikr daman-geer ho ga ke is ka sadqa qabool kaun kare aur yahan tak ke wo pesh kare ga lekin jis ke samne pesh kare ga wo kahe ga ke mujhe is ki zaroorat nahi hai aur yahan tak ke log badi badi imaraton par aapas mein fakhr karein ge. Ek se ek barh charh kar imaratein banayein ge aur yahan tak ke ek shakhs doosre ki qabr se guzre ga aur kahe ga ke kash mein bhi isi jagah hota aur yahan tak ke sooraj magrib se nikle ga. Pas jab wo is tarah tulu ho ga aur log dekh lein ge to sab iman le aayein ge lekin yeh wo waqt ho ga jab kisi aise shakhs ko is ka iman lana faida na pahunchaye ga jo pehle se iman na laya ho ya us ne apne iman ke saath acche kaam na kiye hon aur qayamat achanak is tarah qaim ho jaye gi ke do aadmiyon ne apne darmiyan kapra phaila rakkha ho ga aur ise abhi bech na paye hon ge na lapait paye hon ge aur qayamat is tarah barpa ho jaye gi ke ek shakhs apni oontni ka doodh nikal kar wapas hua ho ga ke ise kha bhi na paya ho ga aur qayamat is tarah qaim ho jaye gi ke wo apne hauz ko durust kar raha ho ga aur is mein se pani bhi na piya ho ga aur qayamat is tarah qaim ho jaye gi ke us ne apna luqma munh ki taraf uthaya ho ga aur abhi ise khaya bhi na ho ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة