الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein
باب متى يسجد من خلف الإمام:
Bab: Imam ke peechhe muqtadi kab sajda karen?
Hadith Number: 690
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى بن سعيد، عن سفيان، قال: حدثني ابو إسحاق، قال: حدثني عبد الله بن يزيد، قال: حدثني البراء وهو غير كذوب، قال:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا قال: سمع الله لمن حمده، لم يحن احد منا ظهره حتى يقع النبي صلى الله عليه وسلم ساجدا، ثم نقع سجودا بعده"، حدثنا ابو نعيم، عن سفيان، عن ابي إسحاق نحوه بهذا.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Yahya bin Saeed ne Sufyan se byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Abu Ishaq ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abdullah bin Yazid ne byaan kiya , kaha ke mujh se Bara bin Aazib razi Allahu anhu ne byaan kiya , woh jhootay nahi thay . (balkay nihayat hi sachay thay) unhon ne batlaya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam «sami Allahu liman hamidah» kehtay to hum mein se koi bhi us waqt tak na jhukta jab tak Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam sajde mein na chalay jatay phir hum log sajde mein jatay . Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Thauri ne , unhon ne Abu Ishaq se jaise upar guzra .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 747
حدثنا حجاج، حدثنا شعبة، قال: انبانا ابو إسحاق، قال: سمعت عبد الله بن يزيد يخطب، قال: حدثنا البراء، وكان غير كذوب انهم كانوا" إذا صلوا مع النبي صلى الله عليه وسلم فرفع راسه من الركوع قاموا قياما حتى يرونه قد سجد".
Hum se Hajjaj bin Minhaal ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke hamein Abu Ishaq Amr bin Abdullah Sabayi ne khabar di , kaha ke main ne Abdullah bin Yazid razi Allahu anhu se suna ke Aap khutba de rahe thay . Aap ne byaan kiya ke hum se Bara bin Aazib razi Allahu anhu ne byaan kiya aur woh jhootay nahi thay ke jab woh (Sahabah) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath namaaz parhte to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ruku se sar uthane ke baad us waqt tak kharay rehte jab tak dekhte ke Aap salla Allahu alaihi wasallam sajde mein chalay gaye hain (us waqt woh bhi sajde mein jate) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 811
حدثنا آدم، حدثنا إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن عبد الله بن يزيد الخطمي، حدثنا البراء بن عازب وهو غير كذوب، قال: كنا نصلي خلف النبي صلى الله عليه وسلم، فإذا قال:" سمع الله لمن حمده، لم يحن احد منا ظهره حتى يضع النبي صلى الله عليه وسلم جبهته على الارض".
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya , kaha ke hum se Israel ne Abu Ishaq se byaan kiya , unhon ne Abdullah bin Yazid se , unhon ne kaha ke hum se Bara bin Aazib razi Allahu anhu ne byaan kiya , woh jhoot nahi bol sakte thay . Aap ne farmaya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki iqtida mein namaaz parhte thay . Jab Aap «sami Allahu liman hamidah» kehtay (yani ruku se sar uthate) to hum mein se koi us waqt tak apni peeth na jhukata jab tak Aap salla Allahu alaihi wasallam apni peshani zameen par na rakh dete .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة