الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
أَبْوَابُ صِفَةِ الصَّلَاةِ
The Book of Adhan (Sufa-tus-Salat)
بَابُ السُّجُودِ عَلَى سَبْعَةِ أَعْظُمٍ:
Chapter. To prostrate on seven bones.
Show diacritics
Hadith Number: 809
حدثنا قبيصة، قال: حدثنا سفيان، عن عمرو بن دينار، عن طاوس، عن ابن عباس،" امر النبي صلى الله عليه وسلم ان يسجد على سبعة اعضاء، ولا يكف شعرا ولا ثوبا الجبهة واليدين والركبتين والرجلين".
Hum se Qabisa bin Uqbah ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan Thauri ne Amr bin Dinar se byaan kiya , unhon ne Taus se , unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se , Aap ne batlaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko saat aza par sajda ka hukm diya gaya , is tarah ke na baalon ko apne samete na kapre ko (woh saat aza yeh hain) peshani (ma naak) donon haath , donon ghatne aur donon paon .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 810
حدثنا مسلم بن إبراهيم، قال: حدثنا شعبة، عن عمرو، عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" امرنا ان نسجد على سبعة اعظم ولا نكف ثوبا ولا شعرا".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne , unhon ne Amr se , unhon ne Taus se , unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke hamein saat aza par is tarah sajda ka hukm hua hai ke hum na baal sametein na kapre .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 811
حدثنا آدم، حدثنا إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن عبد الله بن يزيد الخطمي، حدثنا البراء بن عازب وهو غير كذوب، قال: كنا نصلي خلف النبي صلى الله عليه وسلم، فإذا قال:" سمع الله لمن حمده، لم يحن احد منا ظهره حتى يضع النبي صلى الله عليه وسلم جبهته على الارض".
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya , kaha ke hum se Israel ne Abu Ishaq se byaan kiya , unhon ne Abdullah bin Yazid se , unhon ne kaha ke hum se Bara bin Aazib razi Allahu anhu ne byaan kiya , woh jhoot nahi bol sakte thay . Aap ne farmaya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki iqtida mein namaaz parhte thay . Jab Aap «sami Allahu liman hamidah» kehtay (yani ruku se sar uthate) to hum mein se koi us waqt tak apni peeth na jhukata jab tak Aap salla Allahu alaihi wasallam apni peshani zameen par na rakh dete .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain