الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein
باب من صلى بالناس وهو لا يريد إلا أن يعلمهم صلاة النبى صلى الله عليه وسلم وسنته:
Bab: Koi shakhs sirf ye batlane ke liye ke Nabi Kareem ﷺ namaz kyun kar parha karte the aur Aap ka tareeqa kya tha namaz parhaye to kaisa hai?
Hadith Number: 677
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا وهيب، قال: حدثنا ايوب، عن ابي قلابة، قال:" جاءنا مالك بن الحويرث في مسجدنا هذا، فقال: إني لاصلي بكم، وما اريد الصلاة اصلي، كيف رايت النبي صلى الله عليه وسلم يصلي؟ فقلت: لابي قلابة، كيف كان يصلي؟ قال: مثل شيخنا هذا، قال: وكان شيخا يجلس إذا رفع راسه من السجود قبل ان ينهض في الركعة الاولى".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha ke hum se Wuhaib bin Khalid ne byaan kiya , kaha ke hum se Ayyub Sakhtiyani ne Abu Qilabah Abdullah bin Zaid se byaan kiya , unhon ne kaha ke Malik bin Huwayrith (Sahabi) ek dafa hamari is masjid mein tashreef laye aur farmaya ke main tum logon ko namaaz parhaoon ga aur meri niyat namaaz parhne ki nahi hai , mera maqsad sirf yeh hai ke tumhein namaaz ka woh tareeqa sikha doon jis tareeqe se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam namaaz parha karte thay . Main ne Abu Qilabah se poocha ke unhon ne kis tarah namaaz parhi thi ? Unhon ne batlaya ke hamare Shaykh (Umar bin Salamah) ki tarah . Shaykh jab sajde se sar uthate to zara baith jatay phir kharay hote .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 802
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن ابي قلابة، قال:" كان مالك بن الحويرث يرينا كيف كان صلاة النبي صلى الله عليه وسلم وذاك في غير وقت صلاة فقام فامكن القيام، ثم ركع فامكن الركوع، ثم رفع راسه فانصب هنية، قال: فصلى بنا صلاة شيخنا هذا ابي بريد، وكان ابو بريد إذا رفع راسه من السجدة الآخرة استوى قاعدا ثم نهض".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya , unhon ne Ayyub Sakhtiyani se , unhon ne Abu Qilabah se ke Malik bin Huwayrith razi Allahu anhu hamein (namaaz parh kar) dikhaate ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kis tarah namaaz parhte thay aur yeh namaaz ka waqt nahi tha . Chunanchay Aap (ek marteba) kharay huay aur poori tarah kharay rahe . Phir jab ruku kiya aur poori itminan ke saath sar uthaya tab bhi thori der seedhe kharay rahe . Abu Qilabah ne byaan kiya ke Malik razi Allahu anhu ne hamare us Shaykh Abu Yazid ki tarah namaaz parhayi . Abu Yazid jab doosre sajde se sar uthate to pehle achhi tarah baith lete phir kharay hote .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 818
حدثنا ابو النعمان، قال: حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن ابي قلابة ان مالك بن الحويرث قال لاصحابه: الا انبئكم صلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" وذاك في غير حين صلاة، فقام ثم ركع فكبر، ثم رفع راسه فقام هنية، ثم سجد، ثم رفع راسه هنية فصلى صلاة عمرو بن سلمة شيخنا هذا، قال ايوب: كان يفعل شيئا لم ارهم يفعلونه، كان يقعد في الثالثة والرابعة.
Hum se Abun Numan Muhammad bin Fadl ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne Ayyub Sakhtiyani se byaan kiya , unhon ne Abu Qilabah Abdullah bin Zaid se , ke Malik bin Huwayrith razi Allahu anhu ne apne saathiyon se kaha ke main tumhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki namaaz kyun na sikha doon . Abu Qilabah ne kaha yeh namaaz ka waqt nahi tha (magar Aap hamein sikhane ke liye) kharay huay . Phir ruku kiya aur takbeer kahi phir sar uthaya aur thori der kharay rahe . Phir sajda kiya aur thori der ke liye sajde se sar uthaya aur phir sajda kiya aur sajde se thori der ke liye sar uthaya . Unhon ne hamare Shaykh Amr bin Salamah ki tarah namaaz parhi Ayyub Sakhtiyani ne kaha ke woh Amr bin Salamah namaaz mein ek aisi cheez kiya karte thay ke doosre logon ko is tarah karte main ne nahi dekha . Aap teesri ya chothi rakat par (sajde se farigh ho kar kharay hone se pehle) baithte thay . (yani jalsa istirahat karte thay) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 824
حدثنا معلى بن اسد، قال: حدثنا وهيب، عن ايوب، عن ابي قلابة، قال:" جاءنا مالك بن الحويرث فصلى بنا في مسجدنا هذا، فقال: إني لاصلي بكم وما اريد الصلاة، ولكن اريد ان اريكم كيف رايت النبي صلى الله عليه وسلم يصلي، قال ايوب: فقلت لابي قلابة: وكيف كانت صلاته؟ قال: مثل صلاة شيخنا هذا يعني عمرو بن سلمة، قال ايوب: وكان ذلك الشيخ يتم التكبير، وإذا رفع راسه عن السجدة الثانية جلس واعتمد على الارض ثم قام".
Hum se Muali bin Asad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Wuhaib ne byaan kiya , unhon ne Ayyub Sakhtiyani se , unhon ne Abu Qilabah se , unhon ne byaan kiya ke Malik bin Huwayrith razi Allahu anhu hamare yahan tashreef laye aur Aap ne hamari is masjid mein namaaz parhayi . Aap ne farmaya ke main namaaz parha raha hoon lekin meri niyat kisi farz ki adaigi nahi hai balkay main sirf tum ko yeh dikhana chahta hoon ke Nabi Karim kis tarah namaaz parha karte thay . Ayyub Sakhtiyani ne byaan kiya ke main ne Abu Qilabah se poocha ke Malik razi Allahu anhu kis tarah namaaz parhte thay ? To unhon ne farmaya ke hamare Shaykh Amr bin Salamah ki tarah . Ayyub ne byaan kiya ke Shaykh tamam takbeerat kehtay thay aur jab doosre sajde se sar uthate to thori der baithte aur zameen ka sehaara le kar phir uthate .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة