الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein
باب من جلس فى المسجد ينتظر الصلاة، وفضل المساجد:
Bab: Jo shakhs masjid mein namaz ke intezar mein baithe us ka bayan aur masajid ki fazilat.
Hadith Number: 659
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:"الملائكة تصلي على احدكم ما دام في مصلاه ما لم يحدث اللهم اغفر له اللهم ارحمه، لا يزال احدكم في صلاة ما دامت الصلاة تحبسه، لا يمنعه ان ينقلب إلى اهله إلا الصلاة".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne byaan kiya Imam Malik se , unhon ne Abuz Zinad se , unhon ne Araj se , unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke malaika tum mein se us namazi ke liye us waqt tak yun dua kartay rehtay hain . Jab tak (namaaz parhne ke baad) woh apne musallay par baitha rahe «Allahumma ighfir lahu , Allahumma irhamhu» ke aye Allah! is ki maghfirat kar . Aye Allah! is par rehm kar . Tum mein se woh shakhs jo sirf namaaz ki wajah se ruka hua hai . Ghar jane se siwa namaaz ke aur koi cheez us ke liye maani nahi , to us ka (yeh saara waqt) namaaz hi mein shumaar ho ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 176
حدثنا آدم بن ابي إياس، قال: حدثنا ابن ابي ذئب، حدثنا سعيد المقبري، عن ابي هريرة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا يزال العبد في صلاة ما كان في المسجد ينتظر الصلاة، ما لم يحدث"، فقال رجل اعجمي: ما الحدث يا ابا هريرة؟ قال: الصوت يعني الضرطة.
Hum se Adam bin Abi Iyaas ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn-e-Abi Zi’b ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sa’eed Al-Maqburi ne bayan kiya, woh Abu Hurairah se riwayat karte hain, woh kehte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke bandah us waqt tak Namaz hi mein rehta hai jab tak woh Masjid mein Namaz ka intezaar karta hai. Taa-waqt-ye-ki woh hadas na kare. Ek ’ajami aadmi ne poocha ke aye Abu Hurairah! Hadas kya cheez hai? Unhon ne farmaaya ke hawa jo peeche se khaarij ho. (Jise ’urf-e-aam mein goz maarna kehte hain).
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 445
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" الملائكة تصلي على احدكم ما دام في مصلاه الذي صلى فيه، ما لم يحدث تقول: اللهم اغفر له اللهم ارحمه".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya ke kaha humein Malik ne Abul Zinad se , unhon ne Araj se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya jab tak tum apne musalle par jahan tum ne namaz parhi thi , baithe raho aur riyah kharij na karo to malaika tum par barabar darood bhejte rehte hain . Kehte hain Allahumma ighfir lahu Allahumma irhamhu aye Allah! is ki maghfirat kijiye , aye Allah! is par reham kijiye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3229
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا محمد بن فليح، حدثنا ابي، عن هلال بن علي، عن عبد الرحمن بن ابي عمرة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن احدكم في صلاة ما دامت الصلاة تحبسه والملائكة، تقول: اللهم اغفر له وارحمه ما لم يقم من صلاته او يحدث".
Hum se Ibrahim Bin-ul-Munzir ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad Bin Falih ne bayan kiya, un se mere baap ne bayan kiya, un se Hilal Bin Ali ne, un se Abdur Rahman Bin Abi Amra ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Koi shakhs namaz ki wajah se jab tak kahin thehra rahega us ka ye sara waqt namaz mein shumar hoga aur Malaika us ke liye ye dua karte raheinge ke Ae Allah! Is ki maghfirat farma, aur is par apni rehmat nazil kar (is waqt tak) jab tak wo namaz se farigh ho kar apni jagah se uth na jaye ya baat na kare."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة