الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب فى الحوض:
Hauz Kausar ke bayaan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 6583
حدثنا سعيد بن ابي مريم، حدثنا محمد بن مطرف، حدثني ابو حازم، عن سهل بن سعد، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إني فرطكم على الحوض من مر علي شرب، ومن شرب لم يظما ابدا، ليردن علي اقوام اعرفهم ويعرفوني، ثم يحال بيني وبينهم"،
Hum se Saeed bin Abu Maryam ne bayan kiya , kaha hum se Muhammad bin Mutarrif ne bayan kiya , kaha ke mujh se Abu Hazim ne , in se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”main apne Hauz e Kausar par tum se pehle maujood rahoon ga . Jo shakhs bhi meri taraf se guzre ga woh is ka pani piye ga aur jo is ka pani piye ga woh phir kabhi pyasa nahi ho ga aur wahan kuch aise log bhi aayein ge jinhein main pehchanoon ga aur woh mujhe pehchanein ge lekin phir unhein mere samne se hata diya jaye ga .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7050
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا يعقوب بن عبد الرحمن، عن ابي حازم، قال: سمعت سهل بن سعد، يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" انا فرطكم على الحوض، فمن ورده شرب منه، ومن شرب منه لم يظما بعده ابدا، ليرد علي اقوام اعرفهم ويعرفوني، ثم يحال بيني وبينهم، قال ابو حازم: فسمعني النعمان بن ابي عياش وانا احدثهم هذا، فقال: هكذا سمعت سهلا، فقلت: نعم، قال: وانا اشهد على ابي سعيد الخدري لسمعته يزيد فيه، قال: إنهم مني، فيقال: إنك لا تدري ما بدلوا بعدك، فاقول: سحقا سحقا لمن بدل بعدي".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Yaqub bin Abdur Rahman ne bayan kiya, in se Abu Hazim Salama bin Dinar ne bayan kiya, kaha ke mein ne Sahl bin Saad se suna, wo kehte thay ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم farmate thay ke mein Hauz-e-Kausar par tum se pehle rahoon ga jo wahan pahunche ga to is ka pani piye ga aur jo is ka pani pi le ga wo is ke baad kabhi pyasa nahi ho ga. Mere paas aise log bhi aayein ge jinhein mein pehchanta hoon ga aur wo mujhe pehchante hon ge phir mere aur un ke darmiyan parda daal diya jaye ga. Abu Hazim ne bayan kiya ke Numan bin Abi Ayash ne bhi suna ke mein un se yeh hadees bayan kar raha hoon to unhon ne kaha ke kya tu ne Sahl Radi اللہُ عنہ se isi tarah yeh hadees suni thi? Mein ne kaha ke haan. Unhon ne kaha ke mein gawahi deta hoon ke mein ne Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu se yeh hadees isi tarah suni thi. Abu Said is mein itna barhate thay ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke yeh log mujh mein se hain. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se is waqt kaha jaye ga ke Aap ko maloom nahi ke Aap ke baad unhon ne kya tabdiliyaan kar di theen? Mein kahoon ga ke doori ho doori ho un ke liye jinhon ne mere baad deen mein tabdiliyaan kar di theen.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة