الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب صفة الجنة والنار:
Jannat o Jahannam ka bayaan.
Hadith Number: 6550
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا معاوية بن عمرو، حدثنا ابو إسحاق، عن حميد، قال: سمعت انسا، يقول: اصيب حارثة يوم بدر وهو غلام فجاءت امه إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقالت: يا رسول الله: قد عرفت منزلة حارثة مني فإن يك في الجنة اصبر واحتسب، وإن تكن الاخرى ترى ما اصنع، فقال:" ويحك اوهبلت اوجنة واحدة؟ هي إنها جنان كثيرة، وإنه لفي جنة الفردوس".
Mujh se Abdullah bin Muhammad Musandi ne bayan kiya , kaha hum se Muawiyah bin Amr ne bayan kiya , kaha hum se Abu Ishaq Ibrahim bin Muhammad ne bayan kiya , in se Humayd Taweel ne bayan kiya , kaha ke main ne Anas razi Allahu anhu se suna , unhon ne bayan kiya ke Harisa bin Saraqa razi Allahu anhu Badr ki larayi mein shaheed ho gaye . Woh is waqt nau-umr thay to in ki walda Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein aayien aur arz kiya: ya Rasool Allah! Aap ko maloom hai ke Harisa se mujhe kitni mohabbat thi , (Aap mujhe batayein) agar woh jannat mein hai to main sabr kar loon gi aur sabr par sawab ki umeedar rahoon gi aur agar koi aur baat hai to Aap dekhein ge ke main is ke liye kya karti hoon . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke afsos kiya tum pagal ho gayi ho ? Jannat ek hi nahi hai , bahut si jannatein hain aur woh (Harisa) Jannat-ul-Firdous mein hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2809
حدثنا محمد بن عبد الله، حدثنا حسين بن محمد ابو احمد، حدثنا شيبان، عن قتادة، حدثنا انس بن مالك، ان ام الربيع بنت البراء وهي ام حارثة بن سراقة اتت النبي صلى الله عليه وسلم، فقالت:" يا نبي الله، الا تحدثني عن حارثة وكان قتل يوم بدر اصابه سهم غرب، فإن كان في الجنة صبرت، وإن كان غير ذلك اجتهدت عليه في البكاء، قال: يا ام حارثة إنها جنان في الجنة، وإن ابنك اصاب الفردوس الاعلى".
Hum se Muhammad Bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Husain Bin Muhammad Abu Ahmad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shaiban ne bayan kiya Qatada se, un se Anas Bin Malik ne bayan kiya ke Umm-ur-Rubayye Bint Bara (Radi Allahu Anha) jo Harisah Bin Suraqah (Radi Allahu Anhu) ki walida thiin, Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir huein aur arz kiya, ae Allah ke Nabi! Harisah ke bare mein bhi Aap mujhe kuch batayein. Harisah (Radi Allahu Anhu) Badr ki larai mein shaheed ho gaye thay, unhein namaloom samt se ek teer aa kar laga tha. Ke agar wo jannat mein hai to sabr kar loon aur agar kahin aur hai to us ke liye roun dhouun. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ae Umm-e-Harisah! Jannat ke bahut se darje hain aur tumhare bete ko Firdous-e-Ala mein jagah mili hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3982
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا معاوية بن عمرو، حدثنا ابو إسحاق، عن حميد، قال: سمعت انسا رضي الله عنه، يقول:" اصيب حارثة يوم بدر وهو غلام , فجاءت امه إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقالت: يا رسول الله قد عرفت منزلة حارثة مني فإن يكن في الجنة اصبر واحتسب , وإن تك الاخرى ترى ما اصنع، فقال:" ويحك اوهبلت اوجنة واحدة هي , إنها جنان كثيرة , وإنه في جنة الفردوس".
Mujh se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya ‘ hum se Muawiyah Bin Amr ne bayan kiya ‘ hum se Abu Ishaq ne bayan kiya ‘ un se Humaid ne bayan kiya ke mein ne Anas Radi Allahu Anhu se suna ‘ unhon ne bayan kiya ke Harisah Bin Suraqah Ansari Radi Allahu Anhu jo abhi nau-umr larke thay ‘ Badr ke din shaheed ho gaye thay (pani peene ke liye hauz par aaye thay ke ek teer ne shaheed kar diya) phir in ki walidah (Rabee Bint-un-Nasr ‘ Anas Radi Allahu Anhu ki phoopi) Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir huin aur arz kiya: Ya Rasul Allah! Aap ko maloom hai ke mujhe Harisah se kitna pyar tha. Agar wo ab jannat mein hai to mein is par sabr karoon gi aur Allah Ta'ala ki umeed rakhoon gi aur agar kahin doosri jagah hai to aap dekh rahe hain ke mein kis haal mein hoon. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ”Allah tum par raham kare, kya deewani ho rahi ho, kya wahan koi ek jannat hai? Bahut si jannatein hain aur tumhara beta Jannat-ul-Firdous mein hai.“
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6567
حدثنا قتيبة، حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن حميد، عن انس، ان ام حارثة اتت رسول الله صلى الله عليه وسلم، وقد هلك حارثة يوم بدر، اصابه غرب سهم، فقالت: يا رسول الله، قد علمت موقع حارثة من قلبي، فإن كان في الجنة لم ابك عليه، وإلا سوف ترى ما اصنع، فقال لها:" هبلت اجنة واحدة هي، إنها جنان كثيرة، وإنه في الفردوس الاعلى".
Hum se Qutaybah ne bayan kiya , kaha hum se Ismail bin Jafar ne bayan kiya , in se Humayd ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke Harisa bin Saraqa bin Haris razi Allahu anhu ki walda Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huien . Harisa Badr ki larayi mein ek na-maloom teer lag jaane ki wajah se shaheed ho gaye thay aur unhon ne kaha: ya Rasool Allah! Aap ko maloom hai ke Harisa se mujhe kitni mohabbat thi , agar woh jannat mein hai to is par main nahi ro-oon gi , warna Aap dekhein ge ke main kya karti hoon . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke be-waqoof hui ho , kya koi jannat ek hi hai , jannatein to bahut si hain aur Harisa ”Firdous e A'la“ (jannat ke oonche darje) mein hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة