الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب من نوقش الحساب عذب:
Jis ke hisaab mein khod kareed ki gayi us ko azaab kiya jaayega.
Hadith Number: 6538
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا معاذ بن هشام، قال: حدثني اب، عن قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثني محمد بن معمر، حدثنا روح بن عبادة، حدثنا سعيد، عن قتادة، حدثنا انس بن مالك رضي الله عنه، ان نبي الله صلى الله عليه وسلم كان يقول:" يجاء بالكافر يوم القيامة، فيقال له: ارايت لو كان لك ملء الارض ذهبا اكنت تفتدي به، فيقول: نعم، فيقال له: قد كنت سئلت ما هو ايسر من ذلك".
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya , kaha hum se Maaz bin Hisham ne bayan kiya , kaha ke mujh se mere walid ne bayan kiya , in se Qatadah ne , in se Anas razi Allahu anhu ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (doosri sanad) aur mujh se Muhammad bin Mamar ne bayan kiya , kaha hum se Rauh bin Ubadah ne bayan kiya , kaha hum se Saeed ne bayan kiya , in se Qatadah ने , kaha hamase Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farmate thay ke Qayamat ke din kafir ko laya jaye ga aur is se poochha jaye ga ke tumhara kya khayal hai ke agar zameen bhar kar tumhare paas sona ho to kiya sab ko (apni najat ke liye) fidya mein de do ge ? Woh kahe ga ke haan , to is waqt is se kaha jaye ga ke tum se is se bahut aasaan cheez ka (duniya mein) mutalba kiya gaya thu .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3334
حدثنا قيس بن حفص، حدثنا خالد بن الحارث، حدثنا شعبة، عن ابي عمران الجوني، عن انس يرفعه، إن الله يقول:" لاهون اهل النار عذابا لو ان لك ما في الارض من شيء كنت تفتدي به، قال: نعم، قال: فقد سالتك ما هو اهون من هذا وانت في صلب آدم ان لا تشرك بي فابيت إلا الشرك".
Hum se Qais Bin Hafs ne bayan kiya, kaha hum se Khalid Bin Harith ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Abu Imran Juni ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ke Allah Ta'ala (qiyamat ke din) is shakhs se poochega jise dozakh ka sab se halka azab kiya gaya ho ga. Agar dunya mein tumhari koi cheez hoti to kya tu is azab se najat pane ke liye ise badle mein de sakta tha? Wo shakhs kahega ke ji haan is par Allah Ta'ala farmaye ga ke jab tu Aadam ki peeth mein tha to mein ne tujh se is se bhi mamooli cheez ka mutalba kiya tha (roz-e-azal mein) ke mera kisi ko bhi shareek na thehrana, lekin (jab tu dunya mein aaya to) isi shirk ka amal ikhtiyar kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة