الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein
باب فضل صلاة الفجر فى جماعة:
Bab: Fajr ki namaz ba-jama’at parhne ki fazilat ke bare mein.
Hadith Number: 649
Shoaib ne farmaya ke mujh se Nafi ne Ibn Umar razi Allahu anhuma ke wastay se is tarah hadees byaan ki ke jamaat ki namaaz akele ki namaaz se satayees darja zyada fazilat rakhti hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 477
حدثنا مسدد، قال: حدثنا ابو معاوية، عن الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"صلاة الجميع تزيد على صلاته في بيته، وصلاته في سوقه خمسا وعشرين درجة، فإن احدكم إذا توضا فاحسن واتى المسجد لا يريد إلا الصلاة، لم يخط خطوة إلا رفعه الله بها درجة وحط عنه خطيئة حتى يدخل المسجد، وإذا دخل المسجد كان في صلاة ما كانت تحبسه وتصلي يعني عليه الملائكة ما دام في مجلسه الذي يصلي فيه، اللهم اغفر له اللهم ارحمه ما لم يحدث فيه".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Abu Muawiya ne Amash ke wastay se , unhon ne Abu Saleh Dhakwan se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se , unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam se ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya , jamaat ke sath namaz parhne mein ghar ke andar ya bazaar dukan waghera mein namaz parhne se pachees guna sawab zyada milta hai . Kyunke jab koi shakhs tum mein se wudu kare aur is ke aadab ka lihazz rakhe phir masjid mein sirf namaz ki gharz se aaye to is ke har qadam par Allah Taala ek darja is ka buland karta hai aur ek gunah is se maaf karta hai . Is tarah woh masjid ke andar aaye ga . Masjid mein aane ke baad jab tak namaz ke intizar mein rahe ga . Isay namaz hi ki halat mein shumar kiya jaye ga aur jab tak is jagah baitha rahe ga jahan is ne namaz parhi hai to farishtay is ke liye rehmat khudawandi ki duayen karte hain Allahumma ighfir lahu , Allahumma irhamhu aye Allah! is ko bakhsh de , aye Allah! is par reham kar . Jab tak ke riyah kharij kar ke woh farishton ko takleef na de .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 645
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" صلاة الجماعة تفضل صلاة الفذ بسبع وعشرين درجة".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Imam Malik ne khabar di , unhon ne Nafi se , unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jamaat ke saath namaaz akele namaaz parhne se satayees darja zyada fazilat rakhti hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 646
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا الليث، حدثني ابن الهاد، عن عبد الله بن خباب، عن ابي سعيد الخدري، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" صلاة الجماعة تفضل صلاة الفذ بخمس وعشرين درجة".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Layth ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Yazid bin Haad ne byaan kiya , unhon ne Abdullah bin Khbab se , unhon ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se ke unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se suna Aap salla Allahu alayhi wasallam farmatay thay ke jamaat se namaaz tanha namaaz parhne se pachees darja zyada fazilat rakhti hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 647
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا عبد الواحد، قال: حدثنا الاعمش، قال: سمعت ابا صالح، يقول: سمعت ابا هريرة، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" صلاة الرجل في الجماعة تضعف على صلاته في بيته وفي سوقه خمسا وعشرين ضعفا، وذلك انه إذا توضا فاحسن الوضوء، ثم خرج إلى المسجد لا يخرجه إلا الصلاة، لم يخط خطوة إلا رفعت له بها درجة وحط عنه بها خطيئة، فإذا صلى لم تزل الملائكة تصلي عليه ما دام في مصلاه، اللهم صل عليه اللهم ارحمه، ولا يزال احدكم في صلاة ما انتظر الصلاة".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdul Wahid ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Amash ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Abu Saleh se suna , unhon ne kaha ke main ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aadmi ki jamaat ke saath namaaz ghar mein ya bazaar mein parhne se pachees darja zyada behtar hai . Wajah yeh hai ke jab ek shakhs wuzu karta hai aur us ke tamam aadab ko malhooz rakh kar achhi tarah wuzu karta hai phir masjid ka raasta pakarta hai aur siwa namaaz ke aur koi doosra irada us ka nahi hota , to har qadam par us ka ek darja barhta hai aur ek gunah maaf kiya jata hai aur jab namaaz se farigh ho jata hai to farishtay us waqt tak us ke liye barabar duayen kartay rehtay hain jab tak woh apne musallay par baitha rahe . Kehtay hain «Allahumma salli alayhi , Allahumma irhamhu» Aye Allah! is par apni rehmaten naazil farma . Aye Allah! is par rehm kar aur jab tak tum namaaz ka intizaar kartay raho goya tum namaaz hi mein mashghool ho .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2119
حدثنا قتيبة، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" صلاة احدكم في جماعة تزيد على صلاته في سوقه، وبيته، بضعا وعشرين درجة، وذلك بانه إذا توضا فاحسن الوضوء، ثم اتى المسجد، لا يريد إلا الصلاة، لا ينهزه إلا الصلاة، لم يخط خطوة إلا رفع بها درجة، او حطت عنه بها خطيئة، والملائكة تصلي على احدكم ما دام في مصلاه الذي يصلي فيه: اللهم صل عليه، اللهم ارحمه، ما لم يحدث فيه ما لم يؤذ فيه، وقال احدكم في صلاة ما كانت الصلاة تحبسه".
Hum se Qutaiba ne bayan kiya, kaha ke hum se Jareer ne bayan kiya, un se Amash ne, un se Abu Salih ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, jama'at ke sath kisi ki namaz bazaar mein ya apne ghar mein namaz parhne se darjon mein kuch oopar bees darjay zyada fazeelat rakhti hai. Kyunke jab ek shakhs achi tarah wuzu karta hai phir masjid mein sirf namaz ke irada se aata hai. Namaz ke siwa aur koi cheez usay le jane ka ba'is nahi banti to jo bhi qadam wo utthata hai is se ek darja is ka buland hota hai ya is ki wajah se ek gunah is ka maaf hota hai aur jab tak ek shakhs apne musalle par baitha rehta hai jis par is ne namaz parhi hai to farishte barabar is ke liye rahmat ki duaien yun karte rehte hain «Allahumma salli alaihi, Allahumma-ar-hamhu» ”Ae Allah! is par apni rahmatien nazil farma, ae Allah is par raham farma.“ Ye is waqt tak hota rehta hai jab tak wo wuzu torr kar farishton ko takleef na pohanchaye jitni dair tak bhi aadmi namaz ki wajah se ruka rehta hai wo sab namaz hi mein shumar hota hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4717
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن ابي سلمة، وابن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" فضل صلاة الجميع على صلاة الواحد خمس وعشرون درجة، وتجتمع ملائكة الليل وملائكة النهار في صلاة الصبح". يقول ابو هريرة: اقرءوا إن شئتم وقرءان الفجر إن قرءان الفجر كان مشهودا سورة الإسراء آية 78.
Mujh se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya , kaha hum se Abdur Razzaq bin Hammam ne byaan kiya , kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Zuhri ne , unhein Abu Salamah bin Abdur Rahman bin Auf aur Saeed bin Musayyab aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tanha namaz parhne ke muqable mein jama'at se namaz parhne ki fazeelat pachees guna zyada hai aur subah ki namaz mein raat ke aur din ke farishte ikathe ho jate hain . Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha ke agar tumhara jee chahe to yeh aayat parh lo «wa qur-aanal fajri inna qur-aanal fajri kana mash-hoodan» yani Fajr mein qirat e Quran zyada kiya karo kyunke yeh namaz farishton ki haziri ka waqt hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة