الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب الانتهاء عن المعاصي:
Gunaahon se baaz rehne ka bayaan.
Hadith Number: 6482
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد بن عبد الله بن ابي بردة، عن ابي بردة، عن ابي موسى، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" مثلي ومثل ما بعثني الله، كمثل رجل اتى قوما، فقال: رايت الجيش بعيني، وإني انا النذير العريان فالنجا النجاء، فاطاعته طائفة، فادلجوا على مهلهم فنجوا، وكذبته طائفة فصبحهم الجيش فاجتاحهم".
Hum se Muhammad bin Alaa ne bayan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya , in se Burayd bin Abdullah bin Abi Burdah ne in se Abu Burdah ne , aur in se Abu Musa razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”meri aur jo kuch kalam Allah ne mere saath bheja hai is ki misal ek aise shakhs jaisi hai jo apni qaum ke paas aaya aur kaha ke main ne (tumhare dushman ka) lashkar apni aankhon se dekha hai aur main waazih daraanay wala hoon . Pas bhago , pas bhago (apni jaan bachao) is par ek jama'at ne is ki baat maan li aur raat hi raat itminan se kisi mahfooz jagah par nikal gaye aur najat paayi . Lekin doosri jama'at ne usay jhutlaya aur dushman ke lashkar ne subah ke waqt achanaak unhein aa liya aur tabah kar diya .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7283
حدثنا ابو كريب، حدثنا ابو اسامة، عن بريد، عن ابي بردة، عن ابي موسى، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إنما مثلي ومثل ما بعثني الله به كمثل رجل اتى قوما، فقال: يا قوم، إني رايت الجيش بعيني، وإني انا النذير العريان، فالنجاء فاطاعه طائفة من قومه، فادلجوا، فانطلقوا على مهلهم، فنجوا وكذبت طائفة منهم، فاصبحوا مكانهم، فصبحهم الجيش، فاهلكهم واجتاحهم فذلك مثل من اطاعني، فاتبع ما جئت به ومثل من عصاني وكذب بما جئت به من الحق".
`Hum se Abu Kuraib Muhammad bin al-Ala ne bayan kiya, kaha hum se Usama ne bayan kiya, un se Buraid ne, un se un ke dada Abu Burda ne aur un se Abu Musa Ash'ari Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Meri aur jis dawat ke saath mujhe Allah Ta'ala ne bheja hai is ki misal ek aise shakhs jaisi hai jo kisi qaum ke paas aaye aur kahe: ay qaum! mein ne ek lashkar apni aankhon se dekha hai aur mein nang dharang tum ko darane wala hoon, pas bachao ki surat karo to is qaum ke ek giroh ne baat maan li aur raat ke shuru hi mein nikal bhage aur hifazat ki jagah chale gaye. Is liye najat pa gaye lekin un ki doosri jama'at ne jhutlaya aur apni jagah hi par maujood rahe, phir subah sawere hi dushman ke lashkar ne unhein aa liya aur unhein mara aur un ko barbad kar diya. To yeh misal hai is ki jo meri ata'at karein aur jo dawat mein laya hoon is ki pairwi karein aur is ki misal hai jo meri nafarmani karein aur jo haqq mein le kar aaya hoon ise jhutlayein.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7284
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا ليث، عن عقيل، عن الزهري، اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن ابي هريرة، قال: لما توفي رسول الله صلى الله عليه وسلم واستخلف ابو بكر بعده وكفر من كفر من العرب، قال عمر لابي بكر: كيف تقاتل الناس، وقد قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" امرت ان اقاتل الناس حتى يقولوا: لا إله إلا الله، فمن قال لا إله إلا الله عصم مني ماله ونفسه إلا بحقه وحسابه على الله، فقال: والله لاقاتلن من فرق بين الصلاة والزكاة، فإن الزكاة حق المال، والله لو منعوني عقالا كانوا يؤدونه إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم لقاتلتهم على منعه"، فقال عمر: فوالله ما هو إلا ان رايت الله قد شرح صدر ابي بكر للقتال، فعرفت انه الحق، قال ابن بكير وعبد الله: عن الليث عناقا وهو اصح.
`Hum se Qutaiba bin Said ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Zuhri ne, unhein Ubaidullah bin Abdullah bin Utba ne khabar di, un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke jab Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki wafat hui aur Aap ke baad Abu Bakr Radi Allahu Anhu ko khalifa banaya gaya aur Arab ke kai qabail phir gaye. Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne un se ladna chaha to Umar Radi Allahu Anhu ne Abu Bakr Radi Allahu Anhu se kaha ke aap logon se kis buniyaad par jang karein ge jab ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne yeh farmaya tha ke mujhe hukm diya gaya hai ke logon se is waqt tak jang karoon jab tak wo kalima La ilaha illallahu ka iqrar na kar lein pas jo shakhs iqrar kar le ke La ilaha illallahu to meri taraf se is ka maal aur is ki jaan mahfooz hai. Albatta kisi haqq ke badal ho to wo aur baat hai (maslan kisi ka maal maar le ya kisi ka khoon kare) ab is ke baqi amaal ka hisab Allah ke hawale hai lekin Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne kaha ke wallah! mein to is shakhs se jang karoon ga jis ne namaz aur zakat mein farq kiya hai kyunke zakat maal ka haqq hai, wallah! agar wo mujhe ek rassi bhi dene se rukein ge jo wo Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ko dete thay to mein un se un ke inkar par bhi jang karoon ga. Umar Radi Allahu Anhu ne kaha phir jo mein ne gaur kiya to mujhe yaqeen ho gaya ke Allah Ta'ala ne Abu Bakr Radi Allahu Anhu ke dil mein ladayi ki tajweez daali hai to mein ne jaan liya ke wo haqq par hain. Abu Bukair aur Abdullah bin Salih ne Laith se «Anaaqan» (ki bajaye «Iqalan») kaha yaani bakri ka baccha aur yahi zyada sahih hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة