الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein
باب فضل صلاة الفجر فى جماعة:
Bab: Fajr ki namaz ba-jama’at parhne ki fazilat ke bare mein.
Hadith Number: 648
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، وابو سلمة بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" تفضل صلاة الجميع، صلاة احدكم وحده بخمس وعشرين جزءا، وتجتمع ملائكة الليل وملائكة النهار في صلاة الفجر"، ثم يقول ابو هريرة: فاقرءوا إن شئتم: إن قرءان الفجر كان مشهودا سورة الإسراء آية 78.
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shoaib ne , unhon ne kaha hum se Zuhri ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Saeed bin Musayyab aur Abu Salama bin Abdur Rahman ne khabar di ke Abu Hurayrah razi Allahu anhu ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alayhi wasallam se suna Aap salla Allahu alayhi wasallam ne farmaya ke jamaat se namaaz akele parhne se pachees darja zyada behtar hai . Aur raat din ke farishtay Fajr ki namaaz mein jama hotay hain . Phir Abu Hurayrah razi Allahu anhu ne farmaya ke agar tum parhna chaho to (Surah Bani Israel) ki yeh aayat parho «Inna quraanal fajri kaana mashhooda» yani Fajr mein Quran Paak ki tilawat par farishtay haazir hotay hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 176
حدثنا آدم بن ابي إياس، قال: حدثنا ابن ابي ذئب، حدثنا سعيد المقبري، عن ابي هريرة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا يزال العبد في صلاة ما كان في المسجد ينتظر الصلاة، ما لم يحدث"، فقال رجل اعجمي: ما الحدث يا ابا هريرة؟ قال: الصوت يعني الضرطة.
Hum se Adam bin Abi Iyaas ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn-e-Abi Zi’b ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sa’eed Al-Maqburi ne bayan kiya, woh Abu Hurairah se riwayat karte hain, woh kehte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke bandah us waqt tak Namaz hi mein rehta hai jab tak woh Masjid mein Namaz ka intezaar karta hai. Taa-waqt-ye-ki woh hadas na kare. Ek ’ajami aadmi ne poocha ke aye Abu Hurairah! Hadas kya cheez hai? Unhon ne farmaaya ke hawa jo peeche se khaarij ho. (Jise ’urf-e-aam mein goz maarna kehte hain).
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة