الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب حفظ اللسان:
Zabaan ki (ghalat baaton se) hifazat karna.
Hadith Number: 6477
حدثني إبراهيم بن حمزة، حدثني ابن ابي حازم، عن يزيد، عن محمد بن إبراهيم، عن عيسى بن طلحة بن عبيد الله التيمي، عن ابي هريرة، سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن العبد ليتكلم بالكلمة ما يتبين فيها، يزل بها في النار ابعد مما بين المشرق".
Mujh se Ibrahim bin Hamza ne bayan kiya , kaha mujh se Ibn Abi Hazim ne bayan kiya , in se Yazid bin Abdullah ne , in se Muhammad bin Ibrahim ne , in se Esa bin Talha Taymi ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne , unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”banda ek baat zaban se nikalta hai aur is ke mutalliq sochta nahi (kitni kufr aur be-adbi ki baat hai) jis ki wajah se woh dozakh ke gar-rhe mein itni door gir parta hai jitna maghrib se mashriq door hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6478
حدثني عبد الله بن منير، سمع ابا النضر، حدثنا عبد الرحمن بن عبد الله يعني ابن دينار، عن ابيه، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن العبد ليتكلم بالكلمة من رضوان الله لا يلقي لها بالا، يرفعه الله بها درجات، وإن العبد ليتكلم بالكلمة من سخط الله لا يلقي لها بالا، يهوي بها في جهنم".
Mujh se Abdullah bin Muneer ne bayan kiya , unhon ne Abu al-Nadr se suna , unhon ne kaha hum se Abd-ul-Rahman bin Abdullah yani Ibn Dinar ne bayan kiya , in se un ke walid ne , in se Abu Salih ne , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”banda Allah ki raza-mandi ke liye ek baat zaban se nikalta hai usay woh koi ahmiyat nahi deta magar isi ki wajah se Allah is ke darje buland kar deta hai aur ek doosra banda ek aisa kalma zaban se nikalta hai jo Allah ki narazgi ka bais hota hai usay woh koi ahmiyat nahi deta lekin is ki wajah se woh jahannum mein chala jata hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6807
حدثنا محمد بن ابي بكر، حدثنا عمر بن علي. ح وحدثني خليفة، حدثنا عمر بن علي، حدثنا ابو حازم، عن سهل بن سعد الساعدي، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من توكل لي ما بين رجليه، وما بين لحييه، توكلت له بالجنة".
Hum se Muhammad bin Abu Bakr ne bayan kiya, kaha hum se Umar bin Ali ne bayan kiya. (Doosri sanad Imam Bukhari rahmahullah ne kaha) aur mujh se Khaleefa bin Hay-yaat ne bayan kiya, in se Umar bin Ali ne, in se Abu Hazim Salama bin Dinar ne bayan kiya, in se Sahl bin Saad Saadi ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis ne mujhe apne donon paon ke darmiyan yani (sharmgah) ki aur apne donon jabron ke darmiyan (yani zaban) ki zhamanat de di to main usay jannat mein jaane ka bharosa dilata hoon.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة