الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب فضل الفقر:
Faqr ki fazilat ka bayaan.
Hadith Number: 6451
حدثنا عبد الله بن ابي شيبة، حدثنا ابو اسامة، حدثنا هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" لقد توفي النبي صلى الله عليه وسلم وما في رفي من شيء ياكله ذو كبد، إلا شطر شعير في رف لي، فاكلت منه حتى طال علي فكلته، ففني".
Hum se Abu Bakr Abdullah bin Abi Shaybah ne bayan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya , kaha hum se Hisham bin Urwah ne bayan kiya , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki wafat hui to mere tosha-khana mein koi ghalla na thu jo kisi jandar ke khane ke qabil hota , siwa thore se jau ke jo mere tosha-khana mein thay , main in mein hi se khati rahi aakhir ukta kar jab bahut din ho gaye to main ne unhein napa to woh khatm ho gaye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3097
حدثنا عبد الله بن ابي شيبة، حدثنا ابو اسامة، حدثنا هشام، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" توفي رسول الله صلى الله عليه وسلم وما في بيتي من شيء ياكله ذو كبد إلا شطر شعير في رف لي، فاكلت منه حتى طال علي فكلته ففني".
Hum se Abdullah Bin Abi Shaiba ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne, kaha hum se Hisham Bin Urwah ne, un se un ke walid ne bayan kiya, un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki wafat hui to mere ghar mein aadhe wasaq jau ke siwa jo ek taaq mein rakhe hue thay aur koi cheez aisi nahi thi jo kisi jigar wale (jandar) ki khorak ban sakti. Mein isi mein se khati rahi aur bahut din guzar gaye. Phir mein ne is mein se naap kar nikalna shuru kiya to wo jaldi khatam ho gaye
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة