الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب فَرْضِ الْخُمُسِ
The Book of The Obligations of Khumus
بَابُ نَفَقَةِ نِسَاءِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بَعْدَ وَفَاتِهِ:
Chapter. The expenditure of the wives of the Prophet (p.b.u.h) after his death.
Hadith Number: 3096
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يقتسم ورثتي دينارا ما تركت بعد نفقة نسائي ومئونة عاملي فهو صدقة".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik Bin Anas ne bayan kiya, unhein Abu-uz-Zinad ne bayan kiya, unhein Aaraj ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Mere waris mere baad ek dinar bhi na baantein (mera tarka taqseem na karein) mein jo chhod jaoon is mein se mere aamilon ki tankhwah aur meri biwiyon ka kharch nikal kar baqi sab sadqa hai."
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3097
حدثنا عبد الله بن ابي شيبة، حدثنا ابو اسامة، حدثنا هشام، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" توفي رسول الله صلى الله عليه وسلم وما في بيتي من شيء ياكله ذو كبد إلا شطر شعير في رف لي، فاكلت منه حتى طال علي فكلته ففني".
Hum se Abdullah Bin Abi Shaiba ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne, kaha hum se Hisham Bin Urwah ne, un se un ke walid ne bayan kiya, un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki wafat hui to mere ghar mein aadhe wasaq jau ke siwa jo ek taaq mein rakhe hue thay aur koi cheez aisi nahi thi jo kisi jigar wale (jandar) ki khorak ban sakti. Mein isi mein se khati rahi aur bahut din guzar gaye. Phir mein ne is mein se naap kar nikalna shuru kiya to wo jaldi khatam ho gaye
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3098
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن سفيان، قال: حدثني ابو إسحاق، قال: سمعت عمرو بن الحارث، قال:" ما ترك النبي صلى الله عليه وسلم إلا سلاحه، وبغلته البيضاء، وارضا تركها صدقة".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya, un se Sufyan Thauri ne, kaha ke mujh se Abu Ishaq ne bayan kiya, kaha ke mein ne Amr Bin Harith se suna, wo kehte thay ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (apni wafat ke baad) apne hathyar, ek safaid khachar, aur ek zameen jise aap khud sadqa kar gaye thay, ke siwa aur koi tarka nahi chhoda tha
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة