الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الدعوات
Kitab: Duaon ke bayan mein
باب الدعاء بالموت والحياة:
Maut aur zindagi ki dua ke baare mein.
Show diacritics
Hadith Number: 6350
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، عن إسماعيل، قال: حدثني قيس، قال: اتيت خبابا وقد اكتوى سبعا في بطنه، فسمعته يقول:" لولا ان النبي صلى الله عليه وسلم نهانا ان ندعو بالموت لدعوت به".
`Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya, un se Ismail bin Abi Khalid ne bayan kiya, un se Qais bin Abi Hazim ne bayan kiya, kaha ke mein Khabbab bin Arat Radi Allahu Anhu ki khidmat mein hazir hua unhon ne apne pait par saat daagh lagwa rakhe thay, mein ne suna ke wo keh rahe thay ke agar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne humein maut ki dua karne se mana na kiya hota to mein is ki zaroor dua kar leta.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5672
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن إسماعيل بن ابي خالد، عن قيس بن ابي حازم، قال:" دخلنا على خباب نعوده وقد اكتوى سبع كيات، فقال: إن اصحابنا الذين سلفوا مضوا ولم تنقصهم الدنيا، وإنا اصبنا ما لا نجد له موضعا إلا التراب، ولولا ان النبي صلى الله عليه وسلم نهانا ان ندعو بالموت، لدعوت به، ثم اتيناه مرة اخرى وهو يبني حائطا له، فقال: إن المسلم ليؤجر في كل شيء ينفقه إلا في شيء يجعله في هذا التراب".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne, in se Ismail bin Abi Khalid ne aur in se Qays bin Abi Hazim ne bayan kiya ke hum Khabbab bin al-Arat razi Allahu anhu ke yahan in ki iyadat ko gaye unhon ne apne pait mein saat daagh lagwaye thay phir unhon ne kaha ke hamare saathi jo Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein wafat pa chuke woh yahan se is haal mein rukhwat huay ke duniya in ka ajar o sawab kuch na ghata saki aur in ke amal mein koi kami nahi hui aur hum ne (maal o daulat) itni paayi ke jis ke kharch karne ke liye hum ne matti ke siwa aur koi mahal nahi paya (lage imaratein banwane) aur agar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamain maut ki dua karne se mana na kiya hota to main is ki dua karta phir hum in ki khidmat mein dobara hazir huay to woh apni diwar bana rahe thay unhon ne kaha Musalman ko har is cheez par sawab milta hai jise woh kharch karta hai magar is (kam-bakht) imarat mein kharch karne ka sawab nahi milta.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة