الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب ما يجوز من الشعر والرجز والحداء وما يكره منه:
Sher, rajaz aur hadis khwani ka jaiz hona.
Show diacritics
Hadith Number: 6147
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا ابن مهدي، حدثنا سفيان، عن عبد الملك، حدثنا ابو سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" اصدق كلمة قالها الشاعر كلمة لبيد، الا كل شيء ما خلا الله باطل" وكاد امية بن ابي الصلت ان يسلم.
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abd-ur-Rahman bin Mahdi ne bayan kiya , in se Sufyan ne bayan kiya , in se Abd-ul-Malik ne , unhon ne kaha hamase Abu Salamah ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki shuara ke kalam mein se sacha kalma Labeed ka misra hai jo yeh hai ke Allah ke siwa jo kuch hai sab madoom o fana hone wala hai . Umayyah bin Abi al-Salt sha-ir to qareeb thu ke Musalman ho jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3841
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن عبد الملك، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" اصدق كلمة قالها الشاعر: كلمة لبيد الا كل شيء ما خلا الله باطل وكاد امية بن ابي الصلت ان يسلم".
Hum se Abu Nuaim ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, un se Abdul Malik ne, un se Abu Salama ne, un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya " Sab se sacchi baat jo koi shayar keh sakta tha wo Labeed shayar ne kahi ”Haan Allah ke siwa har cheez batil hai.“ Aur Umayyah Bin Abi-as-Salt (jahiliyat ka ek shayar) musalman hone ke qareeb tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6489
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن عبد الملك بن عمير، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اصدق بيت قاله الشاعر: الا كل شيء ما خلا الله باطل".
Mujh se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ghundar ne bayan kiya , in se Shubah ne bayan kiya , in se Abd-ul-Malik bin Umair ne bayan kiya , in se Abu Salamah ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”sab se sacha shair jise sha-ir ne kaha hai yeh hai ”haan Allah ke siwa tamam cheezin be-buniyaad hain .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة