الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب الكبر:
Takabbur ke baare mein.
Hadith Number: 6071
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، حدثنا معبد بن خالد القيسي، عن حارثة بن وهب الخزاعي، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" الا اخبركم باهل الجنة، كل ضعيف متضاعف لو اقسم على الله لابره، الا اخبركم باهل النار، كل عتل جواظ مستكبر".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Sufyan bin Uyaynah ne khabar di, unhon ne kaha hum se Ma'bad bin Khalid Qaysi ne bayan kiya, in se Harisa bin Wahb Khuza'i razi Allahu anhu ne bayan kiya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kya main tumhein jannat walon ki khabar na doon. Har kamzor wa tawazo karne wala agar woh (Allah ka naam le kar) qasam kha le to Allah is ki qasam poori kar de. Kya main tumhein dozakh walon ki khabar na doon har tund-kho, akar kar chalne wala aur mutakabbir.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4918
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن معبد بن خالد، قال: سمعت حارثة بن وهب الخزاعي، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" الا اخبركم باهل الجنة؟ كل ضعيف متضعف لو اقسم على الله لابره، الا اخبركم باهل النار؟ كل عتل جواظ مستكبر".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan ne Abd bin Khalid se byaan kiya, kaha ke main ne Harisa bin Wahb Khuzai razi Allahu anhu se suna, unhon ne byaan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay ke main tumhein bahisht-i aadmi ke mutalliq na bata doon. Woh dekhne mein kamzor natawan hota hai (lekin Allah ke yahan is ka martaba yeh hai ke) agar kisi baat par Allah ki qasam kha le to Allah usay zaroor poori kar deta hai aur kya main tumhein dozakh walon ke mutalliq na bata doon har bad-kho, bhaari jism wala aur takabbur karne wala.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة